GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

Pegham nahi balkeh shikayat hai yeh.:mad:
Gupshup ke log aam awam say to badtameezi say pesh aatay hain ,hamari samajh main ata hai magar hamra to koi Badshah ho kar bhi lehaz nahi karta.:naraz:
Hum agar ek reham dil Badshah na hotay to aisay logon ko bad-goh hone ke sabab unke anjaam pe pohancha dete:snooty:
Humein afsoos say kehna parh raha hai keh hamaray mulk say tehzeeb aur adab naam ke cheez khatam ho chuke hai.

aisay logon ke khilaaf karwai ke jae:mad:!!
:shikra: humein ghussa aa raha hai..Kaneeze-e-Khaas zara sharbat pilaya jae humein

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

Allam Panah , apnay mulk key aurtoon say kahain kah sirf tameez dar bach-chay paida karian. Jo aisa na karay usko andhay koin main daal dia ja-a.

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

azam bohat burri baat hai yeh jo har rooz gs par koyi pagal ajata hai larai karne!

:hmmm: aap ka mashwara humein pasand aya..samajhdar maloom hote hain aap

:mad: peeth peechay hamlay karnay wale humein bhi pasand nahi ..hum samnay say sher ki tarha waar karnay wale pasand hain

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

Badshah salamat, mein tou aapki hamesha izzat karta hoon jab aap saamney hotey hain :salute:

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

:shikra: isi liye hum aap ko jaldi wazeer mutayyan karnay wale hain

iss badshah koh ban kiya jata hai, iss ka tkhta ultaya jata hai aur martial law laga diya gaya hai.

Aaab jao jail kee sair karo. Awam khushiyan manein.

Inqlab zindabaad. :smiley:

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

bhaag kar bazaar mein khabar phelaaying

AREY LOGO SUNTEY HO, BADSHAH SALAMAT KA TAKHTA ULAT DIYA GAYA HAI. BAGHAWAT HO CHUKI HAI. QATL-E-AAM SHIROO.

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

:rotfl:

tu MALKA E GS ka kya hogya lolzzzz

:smack: hum ne aap say madad ke umeed ke the magar aap to hamara takhta ultana chahate hain:naraz:

:snooty: Maritial law ka anjaam aap Pakistan main dekh chukay hain.hum apni awam ko utna tang nahi kartay jitna yeh wardi main Gernrals kartay

:smilestar: sach hai sab ugtay suraj ko hi salam kehtay hain:naraz:

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

Paindoo badshah salamat, soorag ugta nahi :smilestar: CHARHTA hai :smack:

Badshah salamat, meney baghawat aapko bachaney k liye karwaayi hai, taakey sab log aa kar aap ko bacha sakein :bummer:

hamari teesray nikah ka kya hoga:teary1:

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

shikra koh Chief Martial Law Adminstrator muqaraar kiya jata hai aur woh jald hee qom say khitab karein gey aur flooder -e -azam kee kartooton say qaum koh agah karein gey. :)

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

:yawn:

Wah! aap ne sabit kar diya keh aap hamaray wafadaar :shikra:
tanao(tension) ke wajah say ab kuch llikh bhi nahi paa rahe:teary1:

Badshah salamat:bummer: Mera iraada tou nahi tha k aapko dhoka doon, lekin mujhe khareeda jaa raha hai aur mein khud ko bikney sey rok nahi paa raha hoon :bummer:

Dekha ex badashah salamat Pakistani pey bharosa karney ka nateeja. :rotfl:


Uncle .. iss tarah cafe kaa bhaTaa beTh jaaye gaa... yeh ghalati naa kijiye gaa!

:snooty: achay kamoon ko waisya bhi koun yaad karta hai

:emmy: Shikra ka hum gala duba dein ge to khitab kahan say karein ge

:mad: yeh hamari saltanat hai.Hamari!!.hamaray walid ne is mumlikat ki bunyaad rakhi thi:aj:

Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham

Badshah salamat Meri biwi aur bhookey bachon ki roti ka sawal hai, kia karoon :bummer: Magar mein dil sey hamesha aapki izzat karoonga :salute: