I agree with all those who said cousin marriage is allowed in quran.
Agar koi is qabil hoti cousins main jinko main ahmiaat deta hoon to zaoor karta shadi. Agar meri maan ki ijazat hoti to.
Shadi karnay main koi na mana hai na muzaiqa bamutabiq quran o clutre e pakistan.
Wo jin kay gharon main Bhai bahan kaha gia to us say kia farq parta hai rehtay to wo cousin hi hain. I agree kay yay hard hota ho ga accept karnay main kay jinko Bhai ya bahan samjha bilkul sagon ki tarha unko as a wife/husband samjhain.
Parents ko buchchon ko bhai bahan kahnay main aur honay ka farq zaroor batana chahyay buchchon main. Agar larkay larkion main faslay rakhay jain to mera naheen khiaal kay koi masla banaay.
Hamain bhi hamaray parents nain bhai bahan hi bataya tha cousin ko per hum mingle naheen huway itna kay shadi ki baat hoti to koi farq parta.