Ghum....

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** yeh aap ki bohaat piyaari choice hai Nayaab
kuch issi se milta jultaa ashaar Obaid Ullah Alleem(mere Favortie Shaiyar) ka pesha karta hooN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**

Hoon kHafaa uss se magar itna nahiN
kHud na jaaouNga bulaa kar le jaaye

Uss ke Hamraah chalaa jataa hooN
Jo mere Dil ko dukhaa kar le jaye
**

Bohot khoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Hum kheraan thay us bewafah keh janhe par
Hum-daard bolhe keh saab yuhee chalhe jahte hai …

Nice Choice Nayab

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

**KucH to MajbooriyaaN rahi hoNgi
YouN koi Bewafaa nahiN hotaa **

**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **

Sitaam to hai keh woh bhi na ban sakha apna
Qabool hum neh kiyeh jis keh ghum khushi ki tarha
Kabhi na socha tha hum ne uss keh kiyeh
Karhe gha woh bhi sitaam hum peh haar kishi ki tarha

wowwwwwwww

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/eek.gif

very nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

,
wesse aik baat bataye ,itni achi poetry aap kaha se dondh nikalti hai?

Hmmm thanks jee…Hum doondh nikaltay nahin hai …bas kuch esha samajh leh keh jinhay poetry se chahat hotee hai us tak poetry kudh hi ponch jahtee hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

Zahir hai jee Phool to kabhi BhaNware ke paas nahIn jaataa, BhaNwara Phool ko Dhoond nikaaltaa hai
Aur Aaap Mashallah "GHAZAL"haiN Asha’aar to kHud-ba-kHud aapke haseen TakHayul ki Zeenat ban jaate hoNge

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

keep it up

**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **

mujhe bhi poetry bohot achi lagti hai,par mujhe tak tho kud nahi pohonchti

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

LOlz
Suniye Gul ke paass to kHushboo ki Kashish aur apni Saadgi ka hunar hota hai BahNware ko apni taraf mutawajah karne kelyie (jo keh Nayab Sahiba mein naturaly hai) keya aap ne wo dilkashi aur Hunar Paida kyia ? nahiN to kijyie aur dekhiye Asha’ar Gohar-e-Nayab ban akr aap ke TakHayul meiN kHilte chle jaaiNge jaaiNge aur aap ki Soch ka Sehra Shairi ke nakHlustaan mein tabdeel hojaigaa ;

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Ham Shamma-e-Harf per miTey aur Kimiyaa huwe
Tab doosroN ke Dil per SukHan ne assar kyiaa

**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **

[This message has been edited by Tassneef (edited June 29, 2002).]

aur ye itne hard hard words aap ke pass kaha se aate hai???

Ham cHuraaa laate haiN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

aapni sochoN ke baadloN meiN urh kar

jahaN shairi ke siaah Badal dekhe wahaN se chand boondeiN maiN bhi churaa laata hooN

..aur Ilm ke yeh kHazeene aapni sochooN ke kHazaanoN meiN jamma akr letaa hooN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** Ham cHuraaa laate haiN

Yeh to mujhe bhi samajah main nahin atha keh in keh pass itne achay achay lafz kaha seh athay hai …Mujhe in keh baat karne ka lehjah bohot acha laghta hai …
Lekin yeh kia tassneef jee aap neh to keh diya keh aap churah lehtay hai …Pher to 100% Bhaateeji jee aap par ghay hai ..he he

hahaa sab se pehle to Good Morning

HaaN naa ab aapne itni tareef akr di hai to pehle main blush_looN hehehee
jee maiN Ilm Chori karta hooN aur meri Bhateeji IkHlaaq churaati hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Aaap ne ham se keya seekhaa aap keya churaati hain? wese aap ne keya churaana ham hi aap ka Zauq churaa lete haiN lollzz

[This message has been edited by Tassneef (edited June 30, 2002).]

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
**
hahaa sab se pehle to Good Morning

HaaN naa ab aapne itni tareef akr di hai to pehle main blush_looN hehehee
jee maiN Ilm Chori karta hooN aur meri Bhateeji IkHlaaq churaati hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Aaap ne ham se keya seekhaa aap keya churaati hain? wese aap ne keya churaana ham hi aap ka Zauq churaa lete haiN lollzz

Nahin jee hum neh kia tareef karni hai …Hum neh socha keh sab yehi kehe ghay na keh kitne achay inshaan hai tassneef jee..
Lekin sath main yeh bhi kehe ghay na keh Nayab keh dost hai …right

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Hhahaa magar Ho saktaa hai keh Nayaab ki Wajaah se hi LogoN kó Tassneef Nazar aata ho, Phool ki ´kHushboo hi logoN ko apni taraf matwajoh karti hai, warna to kai aisse Gul haiN jinko koi dekhtaa bhi nahiN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Ehsaanmand to mujhe bhi aap ka hona chahyie

acHa Sher mulahizaa farmaiye:-

** Koocha-e-Ishq se kucH kHwaab uThaa kar le aaye
They Gadaa Tohfa-e-Nayaab uThaa kar le aaye

Aisa Ziddi tha mera Ishq na behlaa phir bhi
Log sach-much kai Mehtaab uTha kar le aaye**

**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** Hhahaa magar Ho saktaa hai keh Nayaab ki Wajaah se hi LogoN kó Tassneef Nazar aata ho, Phool ki ´kHushboo hi logoN ko apni taraf matwajoh karti hai, warna to kai aisse Gul haiN jinko koi dekhtaa bhi nahiN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Ehsaanmand to mujhe bhi aap ka hona chahyie

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

acHa Sher mulahizaa farmaiye:-

** Koocha-e-Ishq se kucH kHwaab uThaa kar le aaye
They Gadaa Tohfa-e-Nayaab uThaa kar le aaye

Aisa Ziddi tha mera Ishq na behlaa phir bhi
Log sach-much kai Mehtaab uTha kar le aaye**

Humhesha ki tarha

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Aur yeh kia aap ehsaanmand ki baat kion kar rehe hai …Hum dost hai na…to yeh bijh main ehsaan kaha seh a gaya…

Dosti main kohi ehsaan wehsaan nahin ..okay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

Thanx

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**Koi dhokhaa na khaa jaaye meri tarah
Aise khul ke na sab se milaa kijiye

Aql-o-Dil apani apani kaheiN jab “kHumar”
Aql ki suniye, dil kaa kahaa kijiye **

ab keya kehti haiN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **

Bohot khoob haan

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Wadhaa kiya tha keh khuwaab main milhe ghay ..
Marhay khushi keh neend na ahay to kiya karhoo..

Wo kHwaab tha keh CharaagHaaN tha mere Aangan meiN
Khuli jo aankh to manzar zara ajeeb sa tha

Jo dekhne main bohot hi kareeb laghta hai ..
Uss keh barain main socha to fasaleh laghay ..

Aur aap ko 700 post mubarak ho jee...He he

[This message has been edited by Nayab (edited June 30, 2002).]

Ohh 700 hogaiN maiN ne gHaur hi nahIn kyiaa..jab se aap ke saath Bait-Baazi shuru ki hai mujheyy apni posting ka kHayaal hi nahiN rahaa lollzzz bcs i think keh ab posting se ziaada ehmiyaat in ashaar ki hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**Haal-e-Dil un se kah chuke sau baar
ab bhi kehne ki Baat baaqi hai

Raat baaqi thi jab wo bicHrhe they
kaT gai Umr, Raat baaqi hai **