ghazals , anyone!

dil-e nadan tujhey hooa kya hai
aakhir iss durd ki duaa kya hai
hum ko un say wafa kee hai umeed
jo nahin jantey wafa kya hai
hum hain mushtaq or wo bezaar
ya ilaahee yeh majra kya hai
dil-e nadan tujhey hooa kya hai

jub kay tujh bin nahin koi mojood
phir yeh hungama aye khuda kya hai
dil-e nadan tujhey hooa kya hai

o im a great fan of ghazals too particularly sung by jagjit and chitra

lets see what you guyz have to contribute?

MR

Can someone post 'Bol ke lub azad hai tere'? Probably by Faiz.

BTW MahaRaja, among Indian Ghazal singers, have you heard Begum Akhtar and KL Saigal? (Call it old fashioned taste or whatever.. but I like Saigal very much. some "Immortal Love Songs" or some such casette by HMV.)

ohh MahaRaja I love Ghazals!!!!

hmm lets see....this is a really nice one by Jagjit and Chitra

Socha naheen achha bura dekha sunaa kuchh bhi naheen
maanga khuda se raat din tere sivah kuchh bhi naheen

Dekha tujhay sochaa tujhay chahah tujhay pooja tujhay
meri khataa meri wafaa teri khataa kuchh bhi naheen

Jis par hamaari aankh nay moti bichhaaye raat bhar
bhejaa wahi kaaghaz usay hamanay likhaa kuchh bhi naheen

Ik shaam ki dahaleez par baitay rahay wo deyr tak
aankhon se ki baatain bahut moonh say kahaa kuchh bhi naheen

...umm any mehdi hassan fans out there???

Let me put in a Faiz

Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke

Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke

(Wah! Wah!)

Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke

Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke

Just wonderful ghazal.

So nice to c some nice ghazals here.......
Naazish ....so ur a great fan of ghazals :)
well....ghazals cheez hee aisee hai keh jo aik baar sunta hai fan ho jata hai!

well yeah PG..kl saigal ..and man hes so purana that even my dad was not born at the time when he was singing :)
anyways i havent really listened to his ghazals so it would be nice if u could come up with a few for us to check out :)

i will come up with more of my favs very soon
ciao
MR.

This ones from pankaj udhas ...and who would not agree that the guy has a tremendous voice :)
anyways this one has beautiful lyrics as well so i might as well post it !

door her aib -o naqs kartee hai
rooh mein dhul kai raks kartee hai
mai say aata hai khoobioN per nikhar
mai to tehzeeb -e shuks kartee hai

aadmee ka dukha na dil pee kur
hosh kay murtabay say pust na ho

mujh jaisa kon sharabi
meree ada juda hai sub say
mera nasha ghulat nahi hai
mera nasha juda hai sub say

ik roz khula durwaza
or daulat ghur mein aayee
mera hosh laga thuraanay
yoon us ney aankh milaayee
meray dil nay kaha sun paglay
yeh ehd -e wafa do din ka
dolat kee haqiqiat kya hai
daulat ka nasha do din ka

daulat ka nasha do din ka!!

MR

Try lenny kravitz's - I wanna get away, I want to fly away.........

Later on
Zman

This is Chitra Singh - Sudarshan Fakir

kissi ranjish ko hava do, ki meiN zinda hooN abhi
mujhko ehsaas dila do, ki meiN zinda hooN abhi

mere rukne se meri saanseN bhi ruk jaayengi
faasle aur bada do, ki meiN zinda hooN abhi

zeher peene ki tho aadat thi zamaane waaloN
ab koi aur dava do, ki meiN zinda hooN abhi

chalthi raahoN meiN yooNhi aankh lagi haiN 'faakir'
bheed logoN ki hata do, ki meiN zinda hooN abhi

Here Is One By Mehdi Hassan!

Bay-Sabab Aaj Aankh Pur-Nam Hay
Jaanay Kis Baat Ka Mujhay Gham Hay

Phir Koi Ehtemaam-e-Maatam Hay
Mairay Seenay Mai Dard Kam Kam Hay

Yeh Talluq He Mujh Ko Kiya Kam Hay
Aap Kay Aastaan Per Sir Kham Hay

Zakhm Ho Un Kay Dast-o-Bazu Ki
Zakhm Ko Ehtiyaat Merham Hay

Un Kay Kiyoon Ho Ker Reh Gaey Koser`
Bazm-e-Ehbaab Ham Say Berham Hay

Jaanay Kis Baat Ka Mujhay Gham Hay...

hmmmmmmm some contribution by me in urs Mehfil-e-ghazal,

so by Chitra jee,

Yun Zindagi ki rah main majboor ho ga'ay,
Itnay howay qareeb kay hum door ho ga'ay.

Aaisa nahin kay hum ko koi bhi khushi nahin,
Lekin yeh zindagi tow koi zindagi nahin.
Kiyon es kay faislay hamain manzoor ho ga'ay,
Itnay howay qareeb kay hum door ho ga'ay,
Yun zindagi ki rah main majboor ho ga'ay.

Paya tumhain tow hum ko laga tum ko khoo diya,
Hum dil pay ro'ay aur yeh dil hum pay roo diya.
Palkoon say kiyon khuwab giray kiyon choor ho ga'ay,
itnay howay qareeb kay hum door ho ga'ay,
Yun zindagi ki rah main majboor ho ga'ay.

Yun zindagi ki rah main majboor ho ga'ay.
Itnay howay qareeb kay hum door ho ga'ay.

b'bye.

[This message has been edited by SAMREEN (edited February 18, 1999).]

Assalam-o-Alaikum,

            I wrote this piece almost two years ago when I was in matric (grade
            10). I am not a poet by myself but I take poetry of other people and
            change them. Most of the poems are about school and college life
            and also about the education system of pakistan. The following
            ghazal was by Bahadur Shah Zafar and I tried to change it a bit. I
            know some people might be offended by this because many people
            don't like these kind of changes so I apologize in advance. First I am
            presenting the original Ghazal
                        :
            Lagta nahiN dil mera ujray diyar mey
            Kis ki bani hey aalam-i-na'paidar mey

            Bulbul ko baghban sey na sayad sey gilla
            Kismat mey kaid likhi thi fasl-i-bahar mey

            Umr-i-daraz mang laey they char din
            Do arzoo mey kat gaey do intizar mey

            In hasraton sey keh do kahin or ja basain
            Itni jagah kahan hey dil-i-daghdar mey

            Kitna hey bad naseeb zafar, dafan key liyeh
            Do gaz zamin bhi na mili kooey yar mey 

            BAHADUR SHAH ZAFAR
                             
            Lagta nahiN dil mera class mey
            Kis ki bani hey college ki munazam fiza mey

            Saath wali class sey mang laey they char chalk
            Do physics ki drawing mey kharch hoey do bachon ko marney mey (I
            don't like this second line)

            Mirza ko na discipline incharge sey na prefect sey gilla
            Kismat mey saza likhi thi isembly key aghaz mey

            In teacheroN sey keh do kahin or ja basain
            Lecture bardasht karnay ki sakat kahan hey dil-i-beqarar mey

            Kitna bad-naseeb hey mirza, cheating key liyeh
            Do pharay bhi na mil sakay examination hall mey

            (((Kalam-I-Mirza, Takhalus, Aseer-i-Yasir)))


            I would like your comments.

            KHUDA HAFIZ

MIRZA YASIR

[email protected]    

[mirzayasir.paklinks.com](http://mirzayasir.paklinks.com)    

pafcollchaklala.paklinks.com

Meter does not match, I mean minimum qualification for writing Ghazal.

You could try a free verse though, it does not have such worldly restrctions on creativity.

Maharaja jee,

SaiEE(n)! mey twonnu ghazal sunaanaa waa :):


Insha jee utthow...abb ku'j karo
Iss shehr mey jee kaa lagaanaa kyaa
Insha jee utthow...abb ku'j karo
Iss shehr mey jee kaa lagaanaa kyaa

Wahshee kow sukoon sey kyaa matlabb
Wahshee kow sukoon sey kyaa matlabb
Jogee kaa nagarr mey thikaanaa kyaa

Insha jee utthow...abb ku'j karo
Iss shehr mey jee kaa lagaanaa kyaa
Insha jee utthow...abb ku'j karo
Iss shehr mey jee kaa lagaanaa kyaa

Iss dil key dareedaa-daamann mey...
Dekho tow sahee, sowcho tow sahee
Iss dil key dareedaa-daamann mey...
Dekho tow sahee, sowcho tow sahee...
Jiss jholee mey sau chaiyd huey
Uss jholee kaa phailanaa kyaa

Insha jee utthow...abb ku'j karo
Iss shehr mey jee kaa lagaanaa kyaa
Insha jee utthow...abb ku'j karo
Iss shehr mey jee kaa lagaanaa kyaa

Shabb beetee, chand bhee doob chala
Zanjeer pardee darwazey mey
Shabb beetee, chand bhee doob chala
Zanjeer pardee darwazey mey
Kyun dair gaye gharr aayey ho...
Sajnee sey karo gey...bahaanaa kyaa

Insha jee utthow...abb ku'j karo
Iss shehr mey jee kaa lagaanaa kyaa
Insha jee utthow...abb ku'j karo
Iss shehr mey jee kaa lagaanaa kyaa


..acha suniyae

dasht-e-tanahaaii mein aye jaan-e-jahaan larazaan haye
teri aawaaz ke saaye, tere hontoon ke saraab
dasht-e-tanahaaii mein doori ke khas-o-khaak taley
khil rahe hain tere pahaloo ke saman aur gulaab

uth rahi hai kaheen qurabat say teri saans ki aanchh
apani khushbu mein sulagati hui maddham maddham
door ufaq paar chamakati hui qataraa qataraa
gir rahi hai teri diladaar nazar ki shabanam

is qadar pyaar se aye jaan-e-jahaan rakhaa hai
dil ke rukhasaar pey is waqt teri yaadh ne haath
yoon gumaan hotaa hai garachey hai abhi subhey firaaq
dhal gayaa hijr kaa din, aa bhi gayi wasl ki raat

mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhe.n ho jaayegaa
mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhe.n ho jaayegaa
diivaaro.n se sar Takaraaoge jab ishq tumhe.n ho jaayegaa
  har baat gavaaraa kar loge mannat bhii utaaraa kar loge
  taabiize.n bhii ba.Ndhavaaoge jab ishq tumnhe.n ho jaayegaa
ta.nhaa_ii ke jhuule khuule.nge har baat puraanii bhule.nge
aa_iine se tum ghabaraaoge jab ishq tumhe.n ho jaayegaa
  jab suuraj bhii kho jaayegaa aur chaa.Nd kahii.n so jaayegaa
  tum bhii ghar der se aaoge jab ishq tumhe.n ho jaayegaa
bechainii ba.D jaayegii aur yaad kisii kii aayegii
tummerii Gazale.n gaaoge jab ishq tumhe.n ho jaayegaa

hi naaz :)
nice one.

Umar ji ki gul ai tuaddi!

Hey Zainab :)good to see you!!!

okay here's another nice one by Jagjit and Chitra

Bahut pahale se un qadamon kii aahaat jaan letey hain
tujhe ai zindagii ham dur sey pahachaan letey hain

Merii nazarein bhii aisey qaatilon kaa jaan-o-imaan hai
nigaahen milate hii jo jaan aur imaan letey hain

Tabiyat apanii ghabaraatii hai jab sun-saan raaton mein
ham aise mein terii yaadoon kii chaadar taan letey hain

Firaq aksar badal kar bahes milataa hai koii qaafir
kabhii ham jaan letey hain kabhii pahachaan letey hain

:)

[This message has been edited by Naazish (edited February 24, 1999).]

This is a good one too :)
kya baat hai...kabhi hum jaan laytey hai kubhi pehchaan laytay hain

btw what r u doing up this late? :)

acha g ..tay aiy gul aye:)
nice ones from ya all......insha g utho is deep and so is dasht-e tanhai....
very well sung too.....

i wonder if anyone knows this ghazal by tina sani ....starts with :
jo beeti mujhpay.......im forgetting the whole piece but it is beautiful...
will be nice if someone could post that one.

MR

Hey All…

arey Zainab tum bhi ithnay raat ko kya kar rhi thi :wink:

MaHaRaja…I know what ghazal your talking about…but I too don’t know the lyrics for that

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

Jo beeti muhj pay…tum mat phoochoo…anyone know the rest? :slight_smile:

khair it’s a really nice one indeed!!!

I think I have heard it in some Pakistan Drama…umm I could be wrong :slight_smile: