Maharaja
I dont know the one u r talking abt but here is a really beautiful ghazal by Faiz sung by tina sani:
Bol kay lub azaad hain tere
bol zaban ub tuk tairi hay
taira sutawan jism hai tera
bol kai jaan ub tuk tairi hai
daik keh Ahangar ki dukaN mein
tund hain sholay surkh hai ahaan
kholanay lugay quffalon kay dahanay
phaila har ik zanjeer ka daaman
bol yai thoRa waqt bohat hai
jism o zaban ki maut say pehlay
bol kay such zinda hai ub tuk
bol jo kuchh kahna hai keh lay
[This message has been edited by zainab (edited February 24, 1999).]