Yeah ghazal ghaliban pichhli sadi ki aakhri dahaee k ibtedaee ayyam main kahee gayee thee yaani 1991 ya 1992 main.
( yaani yeah tab ki baat hai jab “aatish” jawan thha)
Aaj waraq gardani k dauran nazar aayee to socha k aap hazarat ki rayay jaan leejayay k yeah tuk bandi kiss had tak qabil e qabool hai.
Tau Arz kiyaa hai:
Aankh ka kajal zulf ka badal lab ki surkhi rukh ki chamak
Ghayal karday deeda o dil ki shakh e badan ki aik lachak
Teray juluu main chand sitaray tera sarapa misl e ufaq
Rang bikhairay noor bikhairy Lehratay aanchal ki dhanak
Mashshata jab zulf sanwaray chha jayay ghanghor ghataa
Badal barsain bijli chmakay paa kar inn ki aik jhalak
Shayer sher likhay tujh par to lafz o maani jhoom uthain
kaghaz aur qalam bhi dekho raqs karay hain thirak thirak
Sehra unn ki zeest bani jo dhoondnay tujh ko niklay thay
Raah na soojhi Dasht e wafaa main bhatak rahay hain aaj talak
Tuu jis ki Taqdeer banay wohi haft aqleem e zamana ho
aur teri hasrat k maray jaan hi day dain sisak sisak
Tuu unwaan e ghazal hai janaaN tuu hi to hai wajah e sukhan
“sham” bana phirta hai shayer dekh k teri aik jhalak
[QUOTE] Originally posted by Mirza Ruswa: *
*
Aadab o tasleemat
Yeah ghazal ghaliban pichhli sadi ki aakhri dahaee k ibtedaee ayyam main kahee gayee thee yaani 1991 ya 1992 main.
( yaani yeah tab ki baat hai jab "aatish" jawan thha)
Aaj waraq gardani k dauran nazar aayee to socha k aap hazarat ki rayay jaan leejayay k yeah tuk bandi kiss had tak qabil e qabool hai.
Tau Arz kiyaa hai:
Aankh ka kajal zulf ka badal lab ki surkhi rukh ki chamak
Ghayal karday deeda o dil ki shakh e badan ki aik lachak
Teray juluu main chand sitaray tera sarapa misl e ufaq
Rang bikhairay noor bikhairy Lehratay aanchal ki dhanak
Mashshata jab zulf sanwaray chha jayay ghanghor ghataa
Badal barsain bijli chmakay paa kar inn ki aik jhalak
Shayer sher likhay tujh par to lafz o maani jhoom uthain
kaghaz aur qalam bhi dekho raqs karay hain thirak thirak
Sehra unn ki zeest bani jo dhoondnay tujh ko niklay thay
Raah na soojhi Dasht e wafaa main bhatak rahay hain aaj talak
Tuu jis ki Taqdeer banay wohi haft aqleem e zamana ho
aur teri hasrat k maray jaan hi day dain sisak sisak
Tuu unwaan e ghazal hai janaaN tuu hi to hai wajah e sukhan
“sham” bana phirta hai shayer dekh k teri aik jhalak
apni aaraa say zaroor nawaziyega. shukriyaa
Sham e be nawa al maaroof ba Mirza Ruswa
**
[/QUOTE]
Ohhh! Aatish jawaan bhi tha, hamain tu yahee gumaan rehta aap per keh shayed kabhi bhi jawaan nahee thay, just kidding...
Bohat hee khoob Shaam Sahab, waisay aap kay kalaam main Jenab Akhter Sheerani ki see jhalak hai, kaheen aap muttaissr tu nahee unkay kalaam say...
Again thanks for sharing :)
Wah kia baat hai Mirza sahib :k:
Aap thay kidhar itnay dinon? Kitnay din hue hum ne shatranj naheen khelee
Buhat yaad kia aap ko, aap bhee na ajeeb hain Mirza sahib, jaate hain to wapis aane ko dil hee naheen karta aap ka!
Welcome back :k:
Yeah meri bahteeji bhi sahee ManoN main “Maah e tamaam” hai sirf chund lamhon ko jhalak dikhatee hai.
Ghazal aap ko pasand aayee ( Mujhay shayeri ki sanad mil gayee)
Ohhh! Aatish jawaan bhi tha, hamain tu yahee gumaan rehta aap per keh shayed kabhi bhi jawaan nahee thay, just kidding...
Bohat hee khoob Shaam Sahab, waisay aap kay kalaam main Jenab Akhter Sheerani ki see jhalak hai, kaheen aap muttaissr tu nahee unkay kalaam say...
Again thanks for sharing :)
[/QUOTE]
Mohtaram WiseGuy Saheb:
Tasleem
Janab Gumaan ko dil main jagah na deejiyay k basa auqat yeah bad gumani ho jati hai.
Woh waqt bhi thha k jab rangeen pairahan hamaray chahaar atraf lejratay thay aur Hum k bay niyaaz e husn o ishq huwa kartay thay.
ab yeah aalam hai:
Na haathon ko juNbish na pairoN ko taqat
K uthh khaiNchaiN daman hum uss dilruba ka
Sar e raah baithay hain aur yeah sadaa hai
K ALLAH WAALI HAI BAY DAST O PAA KA
Aah kahan woh saheb e qalam janaab Akhtar akhtar sheerani kahan ham kam maya o be nawaa.
Aik sher Mohtaram akhtar sheerani ka sun leejiyay, Husb haal bhi hai:
Kiya rabt hai uss ka taaroN say kiya rishta uss ka phoolooN say
Jab taray chatkay phool khilay woh raat ki raani yaad aayee.
Shatranj ki bisaat bichhi bhi to kiyaa kiyunkay baqol e Allama
Tadbeer ko taqdeer k shatir nay kiyaa maat.
hum sheh bachaao kehtay rahay aur taqdeer nay maat day di.
Zindagi masroof say masroof tar hoti jaa rhi hai lekin yeah chand lamhay jo gup shup pay guzarty hain ehsaas e latafat ataa kartay hain
aap aisay ehbaab e sukhan say mulaqat - mulaqat e masehha o khizar say kam nahee.
[QUOTE]
*Originally posted by Paglee: *
bohat khoob Sham unkle...and welcome back again
(ab tu welcome back kah kah be thaak gaye ) :)
[/QUOTE]
Salaam paglee jee
bohat bohat shukriyaa
Array ray ray yeah aap nay kiya kaha-Thak gayeen haiN aap.
woh bhi apnay Sham unkal ka istiqbaal kar kar k.
yeah aap hi k istiqbaal ka to mo'jizaa hai k hum yahan aatay hain
(dair hi say sahi) kiyunkay :
kam hi jataa hi kisii bazm main deewana magar
Jab bhi jaata hai ba andaaz e digar haata hai
Khudara thakiyega nahee.
iss ummeed par k aap phir pazeeraee ataa karaingee hadiyaa e tashakkur paish karta hooN