Ghazal paish e khidmat hai

bohat achay...

Buhat Achay:flower1:

Re: Salaam

[QUOTE]
*Originally posted by Mirza Ruswa: *

Salaam paglee jee

bohat bohat shukriyaa

Array ray ray yeah aap nay kiya kaha-Thak gayeen haiN aap.
woh bhi apnay Sham unkal ka istiqbaal kar kar k.
yeah aap hi k istiqbaal ka to mo'jizaa hai k hum yahan aatay hain
(dair hi say sahi) kiyunkay :

kam hi jataa hi kisii bazm main deewana magar
Jab bhi jaata hai ba andaaz e digar haata hai

Khudara thakiyega nahee.
iss ummeed par k aap phir pazeeraee ataa karaingee hadiyaa e tashakkur paish karta hooN

Mirza Ruswa
[/QUOTE]

ws unkle je

hum thaktey nahi hain lakin baar baar na wo na welcome back k spelling dhoondhnay per jatey jitni dair us main lagti ap ko pata hia puri gazal likhi ja sakti is leay ...wesay be we all mish u thus why kaha tha k gum na huwa kijiey atey jatey raha kijiey :)

any ways how is every thing?

Kiyun Nhaee Mah

Salaam Mah

Kiyun Nhaee , Aap ki aala zauqi k hum qayal hain aur aap ki Rayay hamaray liyay baRi ahmiyat ki hamil hai.

Shukriyaa

Shukriyaa

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *
bohat achay...
[/QUOTE]

Mohtaram superglue saheb

Nawazish aap ki.

Shukriyaa

SHUKRIYAA

Re: Re: Salaam

[QUOTE]
*Originally posted by Paglee: *

ws unkle je

hum thaktey nahi hain lakin baar baar na wo na welcome back k spelling dhoondhnay per jatey jitni dair us main lagti ap ko pata hia puri gazal likhi ja sakti is leay ...wesay be we all mish u thus why kaha tha k gum na huwa kijiey atey jatey raha kijiey :)

any ways how is every thing?
[/QUOTE]

Salaam paglee jee

Sahee farmaya aap nay

issi liyay na mainy na yeah faisla kar liya hai k iss bazm main na very often aaoonga k aap ko spelling talash karnay ki zehmat na uthhani paRay aur saath hi hamen aap kay post kiyay huway aalaa darjay k kalaam say mustafeez honay ka moqa milta rahay.

every thing is fine Alhumdulillah.

Re: Kahan woh saheb qalam kahaN hum

[QUOTE]
*Originally posted by Mirza Ruswa: *
Mohtaram WiseGuy Saheb:

Tasleem

Janab Gumaan ko dil main jagah na deejiyay k basa auqat yeah bad gumani ho jati hai.

Woh waqt bhi thha k jab rangeen pairahan hamaray chahaar atraf lejratay thay aur Hum k bay niyaaz e husn o ishq huwa kartay thay.
ab yeah aalam hai:

Na haathon ko juNbish na pairoN ko taqat
K uthh khaiNchaiN daman hum uss dilruba ka
Sar e raah baithay hain aur yeah sadaa hai
K ALLAH WAALI HAI BAY DAST O PAA KA

Aah kahan woh saheb e qalam janaab Akhtar akhtar sheerani kahan ham kam maya o be nawaa.
Aik sher Mohtaram akhtar sheerani ka sun leejiyay, Husb haal bhi hai:

Kiya rabt hai uss ka taaroN say kiya rishta uss ka phoolooN say
Jab taray chatkay phool khilay woh raat ki raani yaad aayee.

Ghazal pasand farmanay k liyay mamnoon hoon.

Mirza Ruswa
[/QUOTE]

Tasleemaat,
Qibla o Kaaba Mohtaram Jenaab Shaam sahab aap ka mohabbatoN bhara reply parha dil ko qarar waqee sukoon mila. :)
Jahan tak gumaani badgumaani ka talluq hai, ham kia kahaiN. Baqol chacha
**
Zalim mere guman se mujhe munfail na chah
Hai hai, khuda nakerdah, tujhe bewafa kahon!
**

Jee hamari tu yehi duaa hai keh aap hamesha hee lehratay, gaatay, gungunata, hanstay, muskuratay rahaiN. Aur shayed Ghalib ko aap kay haal ka ilm tha, isi laiy kaha, ;)
**
Go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
Rehnay do abhe saaGHar-o-meena meray aage
**
Aur hum nay tu sirf itna kaha tha keh aap kay kalaam main Akhtar Sheerani ki see jhalak aur shaibaa hai.

Aur aap ki ghazal hai hee bohat umda keh tareef na kerna ziyadti hogee.

Khair aatay jatay raha kijiay, kabhi kabhi acha paRhnay ko dil chahta hai,
**
Shab ek jhalak dikha ker woh mah chala gaya
Ab tak wahee samaN hai GHurfay ki jaalioN maiN
**
W/Salaam

WiseGuy

Re: Re: Kahan woh saheb qalam kahaN hum

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Mohtaram saheb aql o firasat ( wiseGuy) saheb
Salaam

Aap aisay Saheb ur Rayay Aur Sayeb ur Rayay hazarat ka wujood hum aisay kam nawaa-oN k liayay baa-is e - imbisaat hai.
Saheb iss tooti phooti Tuk bandi ko aap sharaf e qabooliyat ataa farmatay hain aur waqt nikal kar uss par apni rayay ka izhar farmaty hain, yeah hamaray liyay Sharaf ki baat hai.

Aap nay chacha ko yaad farmaya, kal ittefaqan guzar unn k mazaar say huwa aur bai-sakhta zubaan say nikla:
KHAAK MAIN KIYAA SUURATAIN HONGEE K PINHAAn HO GAYEEn

Waisay chacha aik jagah farmatay hain:
Lay tau looN sotay main uss k paaoN ka bosa magar
Aisee baatoN say woh kaafir bad gumaaN ho jayega

aap ki iss pazeeraee k liyay mamnoon o mashkoor hoon.

Wassalam
Sham

Excellent stuff !!!

mujh ko tanha chorrr gia wo..................
jane rukh aisa koiun mod gia wo.................

Re: Re: Re: Kahan woh saheb qalam kahaN hum

woww :k::wink:

[quote]
Lay tau looN sotay main uss k paaoN ka bosa magar
Aisee baatoN say woh kaafir bad gumaaN ho jayega

[/quote]

unkle je zara ye zara dehan se badguman honay k sath sath paoon ka muamla hai zara bach k :)..:p

Lay tau looN sotay main uss k paaoN ka bosa magar
Aisee baatoN say woh kaafir bad gumaaN ho jayega

Wah

Ghalib bhi kia lekhta tha ...... lajawaab

Awww

Salaam mah
Iss woww k jawaab main kiyaa arz akrooN

Awww :rolleyes:

Sham

ahaa

[QUOTE]
*Originally posted by Paglee: *

unkle je zara ye zara dehan se badguman honay k sath sath paoon ka muamla hai zara bach k :)..:p
[/QUOTE]

Salaam paglee jee

Sahee farmaya aap nay mua'mla paoN ka hai. issi liyay chacha nay aik jagah farmaya hai:

Peenay ko jab main dhota hooN uss seemTun kay paoN
Rakhta hai zid main khainch kar bahar lagan k paoN

aur hamaray liyay to eyah sher sadiq aata hai

Allah ray zauq e dusht navardi k baad e Marg
hiltay hain khud ba khud meray andar kafan k paoN

Sham

Ohh

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Lay tau looN sotay main uss k paaoN ka bosa magar
Aisee baatoN say woh kaafir bad gumaaN ho jayega

Wah

Ghalib bhi kia lekhta tha ...... lajawaab
[/QUOTE]

Mohtaram Azad saheb

Aadab

janab apnay aslaf ko zara adab say yaad kiya jata hai !!!

Agar nagawar e khatir na ho to yuuN bhi farma saktay thay aap
k Ghalib bhi kiya likhtay thay.

Khair hamaray liyay to chacha qabil e ehtaram haiN issi liyay be sakhta yeah rayay day baithay.

Sham

Re: Ohh

Ruswa :nono4: jo aap nay kaha sun liya :konfused: , jo aap nahi jantay woh hum bata dayte hain , Mirza marhoom our hum main qadr e mushtareq @Piyala our Nawala@ hay :wink: … natejatan humara shokh hona jaiz hay :D, Marhoom aap ke chacha tehray to aap par ihteraam lazam hay.

Re: ahaa

[QUOTE]
*Originally posted by Mirza Ruswa: *

Salaam paglee jee

Sahee farmaya aap nay mua'mla paoN ka hai. issi liyay chacha nay aik jagah farmaya hai:

Peenay ko jab main dhota hooN uss seemTun kay paoN
Rakhta hai zid main khainch kar bahar lagan k paoN

aur hamaray liyay to eyah sher sadiq aata hai

Allah ray zauq e dusht navardi k baad e Marg
hiltay hain khud ba khud meray andar kafan k paoN

Sham
[/QUOTE]

haan na unkle hum tu phir be yehi farmain gain k

paa'oN rkhna dekh bhaal k hasrat zada ki laash pe
lipti huwie kafan maiN so arzo he na hooN

un ** Arzo ** main se aik paoon wali......;) hasrat be tu ho sakti na unkle ha na sahi kaha na...

Re: Re: Ohh

Mohtaram Azad saheb

Salaam

Waqaee meri na - ehli k main iss raaz say waqif na thha k aap aur mohtarm chacha main qadr e mushtarak @Piyala our Nawala@
hai aur uss qadr e mushtarik k sabab aap ki unn say bay takallufi jayaz hai.
bahar haal

Moonis hai karam gaar hai dil saaz hai mera
Mainay ussay paya hai yeah ejaaz hai mera
GHALIB ko bura kiyun kaho achcha meray aagay

Shukriyaa

Mirza Ruswa

Re: Re: ahaa

[QUOTE]
*Originally posted by Paglee: *

haan na unkle hum tu phir be yehi farmain gain k

paa'oN rkhna dekh bhaal k hasrat zada ki laash pe
lipti huwie kafan maiN so arzo he na hooN

un ** Arzo ** main se aik paoon wali......;) hasrat be tu ho sakti na unkle ha na sahi kaha na...
[/QUOTE]

Paglee jee
Salaam

Aik Shair aap ki khidmant main
**
Aankh paRti hai kaheeN paoN kaheeN paRta hai
Sab ki hai tum ko khabar apni khabar kuchh bhi nahee**

aur aok apnay hasb e haal

*sambhal kar paon rakhna mai-kaday main maulvi saheb
yahaN pagRi uchhalti hai issay mai-khana kehtay hain *

Sham