Ghazal Junction

Re: Ghazal Junction

**Kuch din to Basoo mere ankhooN mein **
phir khwaab aaGar ho Jao tu kiaa

Koi raang tu doo mere chaheray ko
phir zakhaam agar mehaka’ooo tu kiaa

Jab hum he na mehaak’ay phir sha’aab
Tum bad-e-saBa khay’la oo tu kiaa

**mein Tanha tah..mein Tanha hooN **
**Tum aaOo tu kia Naa aooo tu kiaa **

Jab daiknee wala koi naahiiiii
Bhuj jaoo tu kia Ghay’na’oo tu kiaa

Re: Ghazal Junction

one of my favorite gazals.

Re: Ghazal Junction

**NeeYat-e-shoq bhar na jay kaheen **
tu be dil se utaar na jaay kaheen

Aj daika hai tuj ko daair k baad
**Aj ka din guzar na jaay kaheen **

**Arzoo hai k tu yahaan ahaay **
**or phir Umar bhaar na jaay kaheen **

Dil jalaTa hoon or Sochta hoon
raa’aygaaN yea hunar na jaay kaheen

**Na milaa kar Udas lOgoon se **
husan tere bikhar na jaay kaheen

Re: Ghazal Junction

Beautiful lyrics plus music.

Kisi nazar ko tera intizar aaj bhi hai

Re: Ghazal Junction

My all time fav.

Re: Ghazal Junction

Qissa e dard by Nayyra Noor (one of my very fav.)

Re: Ghazal Junction

Thorha sath chiay by tina sani

Re: Ghazal Junction

JANE KAHAN GAYE WO DIN

Re: Ghazal Junction

and the last one
Ay dil-e-nadaan - Lata

Re: Ghazal Junction

muj pay Bijli gira’o tu janay sahee AsshYaan pay Girane se kia faidaa

lOve this one..!

Great thread Aliyish!:slight_smile:

Re: Ghazal Junction

Shola tha jaala bhujja hoon hawain mujay na doo
**mein kaab ka jaa chuka hoon sadaaiN mujay na doo **

**jo zehar pee’chuka hoon tumhe ne mujay dia **
aab tum tu zindagii ki duahain mujay na doo

Aysa khabiii na ho kay Palaat k nah aa’sakooN
haar baat duuur jah kar SaadaiN mujay na doo

**kaab muj ko ateraaF -e- Mohabaat na tah Faraz **
khab mein ne yea kaha kay SadaaiN mujay na doo

Re: Ghazal Junction

Phir sawan Rutt ki pawaN chali TUM Yaad aa’ay
**Phir paaTOon ki paazaib baji TUM Yaad aa’ay **

Phir konjaaiN bolain Ghaas k haaray Samandar mein
Ruut ahee pheelay phooLonn ki TUM Yaad aa’ay

Re: Ghazal Junction

**

JiNhay BhoolNe mein Zamane lagay hain
Wohi phir mujay Yaad aane lagay hain

yea kehna tah Unse Mohabat hai muj ko
yea kehney mein mujko Zamane Lagay hain

Haaata’ay Thay jo RaaaH se dostoon ki
wo pathar meray Ghar mein aaaNe lagay hain

Suna hai Humhay woh BhoolaNe laaGay hain
tu kia hum Unhain YaaD aane laaGay hain **

Re: Ghazal Junction

:jano:

Taza Muhabbaton ka nasha - Tina Sani(Parveen shakir)

Re: Ghazal Junction

ab bhala chhoR ke ghar kia kartay-Tina Sani (Parveen Shakir)

Re: Ghazal Junction

DewwaRon se BaaTain karNa

Charagh ban ke wohi Jhilmilaye sham-e-firaq - Nisar kazmi’s ghazal by Tina sani

**

** Jo na mil sakay wohi bewafa, yeh bari ajeeb si baat hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai

Jo kisi nazar se atta huwi, wohi raushni hai khayaal mein
Woh na aasakay rahon muntazir, yeh khalish kahan the wisaal mein
Meri justujoo ko khabar nahee, na woh din rahay na woh raat hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai …

Karay pyaar lab pe gila na ho, yeh kisi kisi ka naseeb hai
Yeh karam hai us ka jahaan nahee, woh juda bhi reh kar qareeb hai
Wohi aankh hai meri rubaru, ussi haath mein mera haath hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai …

Mera naam tak jo na lesaka, jo mujhe qaraar na de saka
Jissay ikhteyaar tu thaa magar, mujhe apna pyar na de saka
Wohi shaks meri talaash hai, wohi dard meri hayaat hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai …

Jo na mil sakay wohi bewafa, yeh bari ajeeb si baat hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai