Re: Ghazal Junction
**
suntay hain k mil jatee hai har chez duah se
ek rooz tumhay maanG k daikain gay khuda se
jabh kuch na mila haath duahooN ko Utaha kar
phir haath uthaa’ne he paraay Humko duah se
Duniya be milee hai ghum-e-duniya be milaa hai
wo kyun nahi miltaa jisay maanGaa tah KHUDA se
Tum samNe baytay hoo tu hai kaaif ki baarish
wo din be thay k jab aaG barastee the GaHtaa se
**