**Jo mila mujh se wo dushman ban gaya
Ghaaliban chehra ye darpan ban gaya
**
**Ab to saari umr dukhna hai ise
Dard tera dil ki dhaRkan ban gaya
**
**Ab lahu baaqi kahaN hai jism mein
Jo bhi tha ashkoN ka eeNdhan ban gaya
**
**Dil ne jab bhi deed ki kee aarzu
AasmaaN mein eik rauzan ban gaya
**
**Naam tera dil ki raahat tha kabhi
Ab to ik be-naam uljhan ban gaya !
**
**Khush-khayaali meri aadat thi magar
Zehen ab yaadoN ka madfan ban gaya
**
**Har tamanna ashk roti reh gaee
Har sitaara zeib-e-daaman ban gaya
**
**Sha’iroN ki kya qadar hogi k ab !
She’r kehna mehez ik fan ban gaya
**
**Mera aangan eik gulshan tha kabhi
Baad tere khaar ka ban, ban gaya !
**
**Mai-kashi se main bhi naalaaN tha magar
Mai-kada ab mera maskan ban gaya
** Haaye Zamil ! neend teri kho gaee
Tera bistar nok-e-sozan ban gaya !
Is se acha tha k daad hi na d hoti !
**Eik hi jumla har thread mein copy-paste kar k kya hasil hua…# of threads increase ho gaye…konsa medel mila??? **
**Agar alfaaz nahi hain paas to is forum mein aane ki kya zarurat thi ??? **