Re: GHAZAL ".....Chupke Se"
agar apni hai to abhi mazeed mehnat ki zaroorat hai.
Ye koi meri pehli sharing to hai nahi janab so is "agar" ka jawab bhi "agar" mein hi hai k agar Sho'ra-e-GupShup mein main ne post ki hai to meri apni hi hai.
Baaqi rahi mehnat waali baat to wo zahir hai k kisi bhi field mein chale jaayeN mehnat k bina kuch haasil nahi hota aur sahi fan-kaar hi wo hai jo kabhi mutma'in nahi hota so mera safar to jaari hai aur jaari rahe ga aakhri she'r likhne tak. Aur ye ghazal to waise bhi kaafi puraani likhi hui hai aur eik maze ki baat ye k main yahan sirf wohi kalaam share karta huN jis mein faults hote hain, baqya kitaab k liye bacha rakha hai.
*Ghazal pe nazar daalne ka bohat shukria janab *:)