Ghalib Cha Chu

I’m missing him

why did he have to die 2 centuries ago..I would have loved to meet him

dedicated to Ghalib cha chu

teray waday pe jiye hum, tou ye jan jhoot jana
keh khushi se mar na jatay, ager aetebar hota

ok everyone…a shair for ghalib everyone !!

aa jao mil ker unki rooh ko tarpayein:devil:

Re: Ghalib Cha Chu

woh aye hamaray darbaar may youN meray hazoor
jaisey darakht say gira koi sarra huwa khajoor :halo:

Re: Ghalib Cha Chu

:smack:

Re: Ghalib Cha Chu

Ye ishq nahi aasan bus itna samjh lijiye
ik aag ka dariya hai aur doob k jana hai

(ghalib ka hi hai na?) :konfused:

Re: Ghalib Cha Chu

unn kay ma’arfana kalaam kaY tau hum sub hee qaail haiN..

Ghalib urdu kalaam-e-shaairi par sanad kaa darjaa rakhataY haiN

misaal kaY taur par:

Gaye kee dumm bhee bay wajah naheeN Ghalib
Kuch tau hai jiss kee pardah daari hai :k:

aur

___________ kee kami naheeN Ghalib
Aik dhooNdo, hazaar miltaY haiN

beauty of the above sher is that it can be filled with unlimited number of fitting words!

Re: Ghalib Cha Chu

AQ wah wah wah :hug:

Re: Ghalib Cha Chu

:mash: bolein AQ bhai..ap nazar laga dein gey

**Sajal **yep ghalib ka hi hey

MatiyarooN se baatein kerna acha lagta hey
Hum bhi baligh ho jayein gey aisay lagta hey

aur arz kia hey
ab susral mein kon hamaray ansu ponjhey ga
ek sali thi, uska rishta bhi aa gaya lagta hey :cry:

:hehe:

Re: Ghalib Cha Chu

great sac:k:

aik aur yaad aayaa!!

Yeh masaalah-e-tasarruf, yeh teraa banyaan Ghalib
TujhaY dhobhi sub samajhtaY, jo dhotaa iss ko rehtaa

Re: Ghalib Cha Chu

zabardast, keep bringin them :smokin:

Re: Ghalib Cha Chu

lolz AQ

Saddy phoopa wohi ganjay walay
Kanghi unhaaN ne mangi

2 mahinay ho gayee ney
na unhaaa ditti
na asaaaN mangi

( thori pakki punjabi hey but deep philosophy hey is poetry mein )

Re: Ghalib Cha Chu

yeh Ghalib saY BullaY Shah tuk kaisaY pohunch gaYe?

Re: Ghalib Cha Chu

:smack: its shakespeare :hehe:

ek aur arz hey
tv ke her ek channel se
gano ka darya behta hey

yeh zulm bechara nazir hi
apni jan pe sahta hey

rat ko sonay se pahley
munna ama se kehta hey

meray ghar ke samney wali khirki mein
ek chaand ka tukra rahta hey

Re: Ghalib Cha Chu

Khud hee Khanjar ba dast hooN har dum
aur khud hee lahu luhaan bhee hooN
Meri Mushkil ajeeb mushkil hai
maiN muhajir bhee hooN, paThaan bhee hooN :clown:

Re: Ghalib Cha Chu

akheer
level :hehe:
wah wah wah

Re: Ghalib Cha Chu

:salam: everyone

Re: Ghalib Cha Chu

wow ... i love him ...

Re: Ghalib Cha Chu

Bay neyaazi hudd say guzri, bunda parwar kub tallak

Hum kahain gay haal-e-dil aur aap farmaanwain gay, Keya?

Re: Ghalib Cha Chu

kamzoor mukabil ho to folad hey momin
angreez mukabil ho to aulad hey momin

kahari-o-ghafari-o-kudusi-o-jabroot
is kism ki her qaid se azad hey momin

ho jang ka maidan to ek tifl-e-dabistaN
college mein ager ho to parizad hey momin

but iski adhay logo ko samajh hi nahi ani :(

Re: Ghalib Cha Chu

nahi hum bilkul nahi kahaiN gay
aap keh deejiyaaY joo bhi kehna hay

:slight_smile:

Re: Ghalib Cha Chu

Keya keya kahoon aur keya na kahoon. Aap bore ho jayin gay.