Re: Ghair maanoos [Unfamiliar] Urdu alfaaz ke ma'nii bataaiye...
**salaam,
aajkal Urdu ke aise alfaaz kuchh Ghair maanoos se samjhe jaate haiN jo ab itne muravvij nahiiN. in alfaaz ke ma'nii bataaiyegaa:
*1. aabnoos *آبنوس**** a kind of tree
2. aatish-e-saiyaal *آتش سیال(Aatish means Fire & Sayyal mean Liquid)***
3. aaHaad *آحاد*
4. aaKhtah *آختہ*
5. ReKhta *ریختہ* Jo ye kahe ke Rekhta kiyun kar ho rashk-e-farsi
Gufta-e-Ghalib parh kar usay suna ke yun )****
Good Luck :)
_______KKF**
can you post complete ghazal of your Dad (as in your signature)
Re: Ghair maanoos [Unfamiliar] Urdu alfaaz ke ma’nii bataaiye…
**1. aabnoos آبنوس siyaah(Black) ya bura ****
2. aatish-e-saiyaal آتش سیالaatish=aag aur saiyaal ka matlab hota hai behti hoi
4. aaKhtah ****آختہ **** i think it means **** “castrated” ****
5. ReKhta **ریختہ i thinkonce in some book i read it was an ancient dialect of urdu
Re: Ghair maanoos [Unfamiliar] Urdu alfaaz ke ma’nii bataaiye…
**yaaraa, aadhii baat bataayii aur aadhii gol kar gaye? aatish means aag/fire…TRUE! but saiyaal doesn’t mean MINERAL reKhtah ke silsile se Mirch Bhai kii Hint pe Ghaur farmaayeN
**
**waah, kia Hint di hai…bahooot Khoob! **
**waah…abhii tak kaa BEST jawaab hai…#2 kaa jawaab 50% saHeeH hai mazeed meHnat kareN
Re: Ghair maanoos [Unfamiliar] Urdu alfaaz ke ma'nii bataaiye...
**ok to, it's time to reveal the correct answers:
*1. aabnoos *= ek qism kii saKht kaale rang kii lakRii jise English meN *Ebony* kahte haiN
*2. aatish-e-saiyaal* = aatish = aag, saiyaal = bahtaa huaa paanii = *lavaa from a vulcano3. aaHaad*** = Plural of aHad = 1 ya'nii *numbers 1-94. aaKhtah*** = Khassii jaanwar *[castrated animal]*
5. reKhtah**** = *earlier version of Urdu*
is meN 'unhoN ne' ko "unne to"; 'tere lab' ko 'tujh lab' aur 'so' ko 'soN' kahte the...*Meer Taqii Meer reKhte ke ustaad* maane jaate haiN jaisa k 'Ghalib ne farmaayaa k:
*reKhte* ke tumhiiN ustaad nahiiN ho, "Ghaalib!"
sunte haiN k agle zamaane meN koii *"Meer"* bhii thaa
ab baalaa-zel alfaaz ko shaa'irii ke zarii'ye numaayaaN karne kii koshish karuuNgaa:
*"Meer" ke deen o mazhab ko kia poochhte ho, *unne to****
qashqah khaiNchaa, dai'r meN baiThaa, kab kaa tark-e-Islaam kiyaa!
*tujh lab* kii sifat la'l-e-BadaKhshaaN, *soN* kahuuNgaa!
jaadoo haiN tire nai'n GhazaalaaN, *soN *kahuuNgaa!!!**