lafzii ma'na to yehii haiN magar is laqab ko Hazrat Mehdii [a.s.] ke liye maKhsoos kiyaa gayaa hai. i don't know if ahl-e-tash'ee Hazraat apne 12th imaam ko Mehdi [a.s.] tasavvur karte haiN.
lafz-e-tyaag yaa tyaagnaa to bahot common lafz hai Hindi kaa...ho saktaa hai Pakistan meN Ghair maanoos ho. dekhte haiN k kaun kaun saHeeH jawaab detaa hai! :)
they call mehdi their 12th imam and give him title of sahib-uz-zaman, i could be wrong, or may be there groups who do that and then there are groups who dont.
teyaagna urdu main bhee use hota hay magal kam kam.
they call mehdi their 12th imam and give him title of sahib-uz-zaman, i could be wrong, or may be there groups who do that and then there are groups who dont.
teyaagna urdu main bhee use hota hay magal kam kam.
achchhaa jii...to phir Mehdi [a.s.] kaa laqab saHeeH huaa! :)
bilkul saHeeH farmaayaa aapne k tyaag kaa lafz Urdu meN must'amil to hai magar shaaz o naadir hii.
faqeer lafz fogr se banaa hai jiskaa matlab hotaa hai Ghinaa…so, faqeer vo hotaa hai jiske andar Ghinaa paayii jaatii hai aur jo Khudaa raseeda hotaa hai…kisii Haq tak darvai’sh ko kah sakte haiN faqeer…
…maga hamaare samaaj meN faqeer ko bhikaarii/gadaagar se mansoob karte haiN jo k asl ma’naa se pare hai.
Hain? Itni sari meaning?
yeah, ek ek lafz ke aksar kaii kaii ma'nii hote haiN. yeh is baat par munHasir hai k vo lafz kis silsile se iste'maal huaa hai