Re: Ghair maanoos [unfamiliar] alfaaz kii laRii
tyaag kaa matlab sirf chhoR denaa nahiiN hai bal k “hamesha ke liya chhoR dene/kanaarah_kashii kar lene” ko kahte haiN…Urdu kaa ek lafz hai…“TAJ” denaa jo iske ham palla hai. yeh kisii conviction ke taHet hotaa hai…is meN mazHab kaa 'unsar honaa laazmii nahiiN…haN, mazhab ek sabab ho saktaa hai magar aisii baat laazmii nahiiN.