**Gar mujhe isska yaqeen ho, mairay humdam, mairay dost**
**gar mujhe isska yaqeen ho ke tairay dil ki thakan**
**tairi aankhon ki udaasi, tairay seenay ki jalan**
**mairi dil-joi, mairay pyar se mit jaegi**
**gar maira harf-e-tassalli voh dava ho jis se**
**ji uthay phir taira ujraa hua be-noor demagh**
**tairi pe-shani se dhul jaen ge tazleel kay daagh**
**tairi bemaar javani ko shifa hojae..**
**gar mujhe isska yaqeen ho , mairay humdam , mairay dost**
Rooz-o-shab, sham-o-sehar, main tujhay behlaata rahoon main tujhay geet sunata rahoon, halkay, sheereen aabsharon ge, baharon ke, chaman-zaroon kay geet aamad-e-subh kay, mehtaab kay, sayyaron kay geet tujh se main husn-o-muhabbat ki hikayaat kahoon gar mujhe isska yaqeen ho, mairay humdam, mairay dost
Kaisay magroor haseenaon ke barfaab se jism gar muhabbat ki hararat se pighal jaatay hain.. kaisay aik chehray kay thehray hue manoos nakoosh dekhtay dekhtay yak-lakht badal jaatay hain… kis tarhan aariz-e-mehboob ka shaffaf be-loor yak-bayak baad-e-ehmar se dehak jaata hai kaisay gul-cheen ke liye jhukti hai khud shakh-e-gulaab kis tarhan raat ka aaivan mehak jata hai
yunhi gata rahoon , gata rahoon, tairi khatir geet bunta rahoon, betha rahoon, tairi khatir par..mairay geet tairay dukh ka madava hi nahi naghma jarta nahi, monas-o-gham-khoar sahi geet nishtar tu nahi, marham-e-azaar sahi, tairay aazar ka tairay azaar ka chara nahi nishtar kay siva aur yeh saffak maseeha, mairay qabzay main nahi iss jahan ke kisi ze-roh kay qabzay main nahihaan magar tairay siva, tairay siva, tairay siva…
Rooz-o-shab, sham-o-sehar, main tujhay behlaata rahoon main tujhay geet sunata rahoon, halkay, sheereen aabsharon ge, baharon ke, chaman-zaroon kay geet aamad-e-subh kay, mehtaab kay, sayyaron kay geet tujh se main husn-o-muhabbat ki hikayaat kahoon gar mujhe isska yaqeen ho, mairay humdam, mairay dost
Kaisay magroor haseenaon ke barfaab se jism gar muhabbat ki hararat se pighal jaatay hain.. kaisay aik chehray kay thehray hue manoos nakoosh dekhtay dekhtay yak-lakht badal jaatay hain... kis tarhan aariz-e-mehboob ka shaffaf be-loor yak-bayak baad-e-ehmar se dehak jaata hai kaisay gul-cheen ke liye jhukti hai khud shakh-e-gulaab kis tarhan raat ka aaivan mehak jata hai
yunhi gata rahoon , gata rahoon, tairi khatir geet bunta rahoon, betha rahoon, tairi khatir par..mairay geet tairay dukh ka madava hi nahi naghma jarta nahi, monas-o-gham-khoar sahi geet nishtar tu nahi, marham-e-azaar sahi, tairay aazar ka tairay azaar ka chara nahi nishtar kay siva aur yeh saffak maseeha, mairay qabzay main nahi iss jahan ke kisi ze-roh kay qabzay main nahihaan magar tairay siva, tairay siva, tairay siva....