~Gar Mujhe Isska Yaqeen ho...

Re: ~Gar Mujhe Isska Yaqeen ho...

[QUOTE]
Originally posted by P}{ä®mä©Ï§t: *


**Gar mujhe isska yaqeen ho, mairay humdam, mairay dost
*
gar mujhe isska yaqeen ho ke tairay dil ki thakan
tairi aankhon ki udaasi, tairay seenay ki jalan
mairi dil-joi, mairay pyar se mit jaegi
gar maira harf-e-tassalli voh dava ho jis se
ji uthay phir taira ujraa hua be-noor demagh
tairi pe-shani se dhul jaen ge tazleel kay daagh
tairi bemaar javani ko shifa hojae..
gar mujhe isska yaqeen ho , mairay humdam , mairay dost

Rooz-o-shab, sham-o-sehar, main tujhay behlaata rahoon
main tujhay geet sunata rahoon, halkay, sheereen
aabsharon ge, baharon ke, chaman-zaroon kay geet
aamad-e-subh kay, mehtaab kay, sayyaron kay geet
tujh se main husn-o-muhabbat ki hikayaat kahoon
gar mujhe isska yaqeen ho, mairay humdam, mairay dost

Kaisay magroor haseenaon ke barfaab se jism
gar muhabbat ki hararat se pighal jaatay hain..
kaisay aik chehray kay thehray hue manoos nakoosh
dekhtay dekhtay yak-lakht badal jaatay hain...
kis tarhan aariz-e-mehboob ka shaffaf be-loor
yak-bayak baad-e-ehmar se dehak jaata hai
kaisay gul-cheen ke liye jhukti hai khud shakh-e-gulaab
kis tarhan raat ka aaivan mehak jata hai

yunhi gata rahoon , gata rahoon, tairi khatir
geet bunta rahoon, betha rahoon, tairi khatir
par..mairay geet tairay dukh ka madava hi nahi
naghma jarta nahi, monas-o-gham-khoar sahi
geet nishtar tu nahi, marham-e-azaar sahi, tairay aazar ka
tairay azaar ka chara nahi
nishtar kay siva aur yeh saffak maseeha, mairay qabzay main nahi
iss jahan ke kisi ze-roh kay qabzay main nahi haan magar tairay siva, tairay siva, tairay siva....

By...Faiz Ahmad Faiz
[/QUOTE]

kia baaat hai P jee :)

Re: ~Gar Mujhe Isska Yaqeen ho...

Wah....

your choice stand indifferent from others......WAH

Lovely and thanks for sharing....