For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

**kabhi yun bhi aa meri aankh may ke meri nazar ko khabar na hu
mujhe ek raat nawaz day magar us ke baad sahar na hu

wo bara raheem-o-kareem hay mujhe ye sift bhi ata kare
tujhe bhulne ki duaa karun to duaa mein meri asar na ho

mere baazuo’n may thaki thaki,abhimahv-e-Khwab hai chandni
na uThe sitaaro’n ki paalaki, abhi aahaTo’n kaa guzar na ho

kabhi din ki dhuup may jhoom ke,kabhii shab ke phou ko choum ke
youn-hi saath saath chalein sada kabhii Khatm apna safar na ho

mere paas mere habiib aa zaraa aur dil ke qariib aa
tujhe dhadhkano’n maybasa loon may ke bicharne ka kabhi Dar na ho**

Just read it somewhere and i thought i should share this with guppies, sorry if it has been posted already**.:)**

Re: For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

^^ AQ will ask you Who is the poet:bummer: Acha hy pehly hi bta do:D Waisy Intikhab acha hy:k:

Re: For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

nice :). thanks for sharing .

Re: For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

wo bara raheem-o-kareem hay mujhe ye sift bhi ata kare
tujhe bhulne ki duaa karun to duaa mein meri asar na ho

Bohat Khoob

Re: For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

I have no idea who the poet is but just found something i liked, tried finding the name but no luck.

Re: For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

:k:

Re: For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

:k:

Re: For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

this masterpiece is by Bashir Badar

some more of it

*ye Gazal ki jaise hiran kii aa.Nkho.n me.n pichhalii raat kii chaa.Ndanii *
*na bujhe Kharaabe kii roshanii, kabhii becharaaG ye ghar na ho *

*vo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mahakegii ek din *
*vo gulaab ban ke khilegaa kyaa, jo chiraaG ban ke jalaa na ho *

*kabhii dhuup de, kabhii badaliyaa.N, dil-o-jaa.N se dono.n qubuul hai.n *
*magar us nagar me.n na qaid kar jahaa.N zindagii kii havaa na ho *

Re: For YOUR one and only: kabhi yun bhi aa

WOW!! Zabardast

Thanx deep_ocean, i think i Bashir Badar's fan now.