For KKF

Re: For KKF

orr mushkal alfaz wala sheer dhundana tha :D

MEHER BHAI SAHIB KE GURDEY KHARAB HO GAEY:(

Re: For KKF

waah, kia zabardast pesh-kash hai aapkii…marHamat farmaane kaa shukria…andaaz e bayaan o zabaan se to Ghalib ke hii ash’aar lagte haiN magar aap tasdeeq farmaa deN to ai’n navaazish hogii! :slight_smile:

aapne in ash’aar meN ek lafz “aafreenash” aayaa hai [with izaafii Harf-e-“SHEEN”] aur ustaad sho’araa ke kalaam meN aksar aise alfaaz aate haiN jin meN izaafii Harf-e-"sheen’ aate haiN…is par aap ne kabhii Ghaur farmaayaa k yeh ‘afreenaSH’ yaa ‘aaKhiraSH’ yaa ‘beenaSH’ hai kia aur yeh izaafat kiuN lagaate haiN? :smiley:

this was a food for thought for today for you! :smiley:

ab Zardari yaa musheer ReHmaan Malik kii taraH yeh na kahiyegaa k “maiN ne iskii NOTICE le li hai aur maiN ne Amal Bhai ko hidaayat kar di hai k do din ke andar report pesh kareN” :cb: :wink: :stuck_out_tongue: :smiley:

haaN, aur yeh MEHER saab kaa zikr e Khair bhii she’r meN aayaa hai to aap bataaiye k in saab kaa tazkira shaa’ir ne kiuN kiyaa? yeh tumhaaraa ba-taur homework assignment hai! :cb:

Re: For KKF

touba inni okhi urdu. main to chla idher se

Re: For KKF

lain jee, saaray bachay, muqawwee bhai se urdu ki tution rakh lain

Re: For KKF

Na Munna na

Un ko bhi samajh nahi aaya

Is liye Chacha e urdu k hawale kar k chale gaye:hehe:

Re: For KKF

:rotfl:

Re: For KKF

chacha e urdu kon hai?

Re: For KKF

Janab Mohtaram

Khalil khan Fakhta sahib

Re: For KKF

:hayaa: jinnati Urdu

Re: For KKF

kiuN badnaam kar rahe ho, miyaaN! :smiley:

bas? itnaa hii? lo ji, jinnaatoN se bhii aapkaa paalaa paRaa hai jo itnii ma’loomaat hai janaab ko! :cb:

Re: For KKF

Are badnaam ka bara naam hota hai!!!

Muqawwee ji ka hi dekh lijiye:cb:

Re: For KKF

hmmm…to yeh she’r tum ne bhii sun rakkhaa hai!!! :smiley:

Re: For KKF

Yeh gana bhi tha

Jis ki bivi moti us ka bhi bara naam hai

Ghar mein gade ka kiya kaam hai:cb:

Amjad khan ki film thi

Re: For KKF

oh achchhaa! vaise, ab byaashtaa joReN jahaN jahaN akele rahte haiN vahaN vahaN un gharoN meN ek ek gadhe to hote hii haiN! :cb:

Re: For KKF

Haha:omg:

Re: For KKF

KKF ab iss shair ka salees urdu main tarjuma karden aur please wo sheen izafi ka majira bhi bayan karen.

Re: For KKF

yeh she’r thaa? yaa sher e babbar? mujhe to Khabar na huii k kab sher nikal gayaa pinjRaa khol ke lol :cb:

professional trajumation chaahiye to Pakistani Embassy se ruj’oo kareN :smiley:

vo izaafii ‘sheen’ kaa maajraa to maiN ne aap se poochhaa thaa! aapko iskii taus’ee aur tauzeeH karnii thii na! :slight_smile:

Re: For KKF

Faraz ne kaha tha na:

Tere hote huwe mehfil main jalate hain chiragh
kitne sada hain sooraj ko dikhate hain chiraagh

aap ke hote huwe jinnati urdu ka tarjuma hum karen, ye gustakhi hum se nahin ho gi

Re: For KKF


are nahiiN baba, yeh to aapkaa Husn-e-nazar hai varna cheh piddii cheh piddii kaa shorbaa!

zabardast she'r hai! :)

Re: For KKF

aji ye to aap ki inksari aur kasr e nafsi hai... asal main iss thread ka topic hona chahiye tha For KKF to explain.... ab aap tarjume aur tozeeh ke faraiz anjam de hi dalen