Jaan ki amaan paaon tou aap sey aik iltija karni thee
Kal daftar mein mera gayarween (11th) manzil par jaaney ka dil kiya tou meney socha k seerhiyan ley kar chala jaata hoon. Jab ooper gaya tou pata chala darwazey par taala laga hua hai. Phir mujhe sab sey pahley wali manzil par jaana para. Itney arsey baad itni seerhiyan charha aur utra, uski wajah sey meri taangon mein bohat dard hai.
Aap sey iltijaa hai agar aap aik ya do kaneezein kuch der k liye udhaar dey dein jo meri taangein daba sakein. Ain nawazish hogi.
Darbari,
Shikra
p.s. Agar kaneez wala khayal bura hai tou aap khud bhi ye kaam kar saktey hain
Badshah salamat theek hai imarat ko neechey sey tord dengey, lekin ab jo hogaya woh hogaya, uski tou koi tadbeer karein aur aik do kaneezein inayat farmaaein. Nawazish hogi.
Uff are you now following? You’ve made me type this in English because I am tired of posting long posts in Urdu…my legs are really swollen because I climbed 11 stories only to find out that they won’t let you in from the stairs on the 11th floor. Then I had to come back to the first floor and take the elevator. Now I need 2 kaneezein to massage me.