Rooya karain ge aap bhi pehron issi tarhan
Atka kaheen jo aapka dil bhi mairi tarhan
"Hay"
Rooya karain ge aap bhi pehron issi tarhan
Atka kaheen jo aapka dil bhi mairi tarhan
"Hay"
haal usakaa tere chehare pe likhaa lagataa hai
vo chup chaap kha.Daa hai teraa kyaa lagataa hai
Yehi likha tha meri haath ki lakeeroo(n) main **
**Mein agar pyar karoonga to bikhar jaoonga
"Alif"
aa dekh mujh se ruuThane vaale tere baGair
din bhii guzar gayaa merii shab bhii guzar ga_ii
Yeh mairi vafa ki hain vehshatain ,mujhe ikhtiyaar-e-junoon nahi
Jahan naam hum ne suna taira, vaheen apnay sar ko jhuka diya
apanii dhun me.n rahataa huu.N
mai.n bhii tere jaisaa huu.N
*Na-jaanay kaun sa aasaib dil mein basta hai *
*Ke jo bhi thehra woh khaali makaan chor gaya *
"Alif"
apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N
ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.N
Nashay mein choor hoon mein bhi tumhein bhi hosh nahee **
**Bara maza ho agar thori door saath chalo
"Vao"
vafaa ke bhes me.n ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai
Ye ajeeb kheail hai pyar ka maine aap dekha ye mojza **
**woh jo lafz meray gumaN main thay woh teri zuban par agaye
"Ye"
yuu.N unakii bazm-e-Khaamoshiyo.n ne kaam kiyaa
sab ne merii muhabbat kaa ehataraam kiyaa
Aus simat chalay ho tu itna use kehna **
**bak na sunain sirf itna usse kehna
ke kuch loog safar kay liyee mozoon nahi hotay
kuch rastay kattay nahi tanha itna usse kehna
"Alif"
aag puurii kahaa.N bujhii hai abhii
diidaa-e-tar me.n tishnagii hai abhii
Yadain kuch iss tarhan se samaat pe chaa gaen
pichli rifaaqaton kay sivaa kuch na raha
"Alif"
Yaa aap ka *Alif.... * tu bassssssssssssss.............
apanii zulfo.n ko sitaaro.n ke havaale kar do
shahar-e-gul baadaagusaaro.n ke havaale kar do
lolz
Vafa main aab yeh hunar ikhtiyar kerna hai
Tu sach kahay na kahay , aaetebar kerna hai
"Ye"
yaar bin talKh zi.ndaganii thii
dostii mudda_ii-e-jaanii thii
Yeh aur baat the kay gul ki tarhan mehaktay rahay
vagarna rakhtay thay hum mizaaj kantoon ka
"Alif" again ... :)
**
Aankhon mein gam ke saaye baitthe hain
Zakhm dil ke main chhupaa nahin sakta
Meri aankhon se parh lo meri dastaan
Mujhpe kya guzri...? sunaa nahin sakta **