Feeling Tense and disturb today!

Kinzz main kia karun mujh say ye relation nahi break hota yaar :( Main apnay parents ki bhi kia bataon ..I talked to them ..Papa is saying k hum apni beti ko aisay nahi dekh sakhtay isiliye foran say rishta break karoo ,un k pass aur koi option nahi .U know wo sirf break karnay ki baat kartay hain , mama kehti hain k starting k 2 years har larki ko compromise karna huta hai chahay wo kitni hi educated kiun na hu and she said k humain to lagta tha k tumhari understanding hougi , tum ab aisa kiun keh rahi hu k wo larka tumhain pasand nahi karta :( Ye sab sun kar main aur disturb hugayi hun.Main apnay parents say bhi kia baat karun?? I haf my elder sister , un ki abhi khud shadi nahi hui datzwhy wo kehti hain tumhari to love marriage hurahi ha datzwhy tumhari to understanding honi chahiye , main kia kehsakhti hun tumhain .she is saying k tum khud us say baat kar k usko samjhao jaisay last 5 years say sambhala hua ha relation waisay hi abhi bhi sambhalo ..Meray fiancee jab bhi aatay hain to meray liye dhair saray gifts latay hain dubai say datzwhy wo meri sister and brother ki nazroon mai achay hain and wo samajhtay hain k un ki sister ye sab dramay kar rahi hai and unki sister ko bohot pyaar karnay wala mila hai ..Un k nazdeek dubai ki cheezain lakar dena hi pyaar and caring hai.They are not believing me...Now u ppl can estimate dat i m really alone and datzwhy i m seeking help here and finding a sister here ..