Re: Feeling Nostalgic !
ab aapkii umr kaa andaaz ho chalaa hai mujhe
ek garmii se duusrii garmii tak ramzaan kii vaapsii meN 33 saal lagte haiN to aajkal kam o besh garmiyoN meN roze aa gaye haiN to mere Khayaal se aapkii age kam se kam 36 kii to hai hii
hahaha
**maiN majjaak maaring! **
carrom bahot popular game hai India meN Khaas kar Muslim 'ilaaqoN meN…baahar chaupaaloN aur saRak ke kinaaroN pe Khoob khelaa jaataa hai aur ek se ek dhurinder paayaa jaataa hai. ![]()