Fazool baatain

Re: Fazool baatain

guzre waqt wapis aaya nahi karte
kash ke pyar mein hum kabhi kisi pe marte
sochne se kuch nahi kaam karne se hota hai
pyar mein kisi ke yeh kabhi nahi sota hai

Re: Fazool baatain

kya rakha hai in fazool batoon mein
kay raatain kattein hain bus yadoon main
mohabbat apnay siwa loog kisee say kartay nahi
sach kaisa bhi ho kehnay say hum dartay nahi

Re: Fazool baatain

sach apnon se kabhi chupaya nahi jata
ek baar kho jaye jo woh wapis paya nahi jaata
beetay lamhon ko yaad karne ka koi faida nahi hai
aisa jo dekhti hein, aapka naik iraada nahi hai

Re: Fazool baatain

aisa nahi kay kesee say shekayat hai mujhay
badaltay chehroon pay buhat heyrat hai mujhay
mangna chahoon too mang loon dua main issay
itnee apnay khuda pay aqedat hai mujhay

Re: Fazool baatain

batein to aap barhi achi achi karte hein
lagta hai mujhe ke sachi sachi karte hein
khuda to khuda hai bohut rehem wala hai
sirf wahi ek dua kabool karne aur sun'ne wala hai

Re: Fazool baatain

sach aur jhoot ko milaya tou kahanee ban gayee
Dewanay samjhay kay mein bhi dewanee ban gayee
dard nay kaha kay likh do ek ketaab
kalam jo uthaya tou LaSanee ban gayee
ishq say dard ka rishta kuch assay jorra
ankhoon say ashkoon ki rawanee ban gayee
jab aaya mugh ko us ki khushee ka khayal
mayray leyey maree khushee hi baymayenay ban gayee

Re: Fazool baatain

very nice and touching fizatiq

Re: Fazool baatain

thank you tweetybird.......

Re: Fazool baatain

apne aap ko dewanee keh diya aap ne
aisa konsa dukh tha jo seh liya aap ne
eid thi aaj aap bhool gaye mujhe rona aaya
aaj kuch baat hai jo is shaam pe rona aaya
kabhi rotay hein kabhi hanste hein hum
socha tha mil kar sahein ge saray sitam
mausam to badalta hai lekin aap bhi badal gaye
acha hua larhkharane se pehle hi hum sambhal gaye

Re: Fazool baatain

prince ali kahan se nakal maari hai aap ne

Re: Fazool baatain

prove that ke main ne nakal maari hai, i'll quit coming to this forum, consider it a challenge or wateva. Let see.

Re: Fazool baatain

mere copy sei :cb:

Re: Fazool baatain

junoon ishq ye kam honay nahi detay
kay meray sapnay mugh ko sonay nahi detay
toota to main bhi hoon kayee modhr par aa kar
par hain kuch saharay jo ronay nahi detay

Re: Fazool baatain

jee tweetybird app say hi inspire ho kar likhtay hain …thanks for ur thread “fazool baatain”…

Re: Fazool baatain

Aap ko dekhaya nahi toota hua dil apna
aapko dikhaya nahi jhootha koi sapna
dil jurh bhi sakta tha agar aap chahte
hum dono mil kar ek hotay agar aap chahte

Re: Fazool baatain

mazaakh kar rahi thee bhai jee prince ali

Re: Fazool baatain

mein bhi mazaak hi kar raha tha! :D

Re: Fazool baatain

Zindagee ka ek aur safa palat kay dekhtay hain
apnay zakhmoom ko hum youn bhar kay dekhtay hain
kudh-gharzee thee kay majboree thee jo hua so hua
chaloo kesee aur say mohabbat phir kar kay dekhtay hain

Re: Fazool baatain

nice one very touching fizatiq

Re: Fazool baatain

thank you tweetybird......