Fazool baatain

Fazool baatain na karo :slight_smile:
tum mujh se please baar baar na laro
jaao ja kar apna kaam karo
phir baad mein roti kha kar apna yeh bara sa pait bharo

Re: Fazool baatain

:vivo: main ne kuch kaha na to tum rona shuru ho jao gi

:hugz: just kidding

Re: Fazool baatain

okaay

Re: Fazool baatain

bay muqa bay maqsad satatay ho tum
bina kisee baat pay ullajh jatay ho tum
dil mein hai jo baat wo kiya karoo
bina kisee baat pay na bherda karoo

app nay acha likha hai tweety bird .........too assay hi main nay bhi likh diya..........app mind nahi karyey ga plz...............

Re: Fazool baatain

fuzool bateyn me nehe kerte
achha aj kai bad meyn nehe lerte
kam abhe koe nehe he
rote khane ka shok nehe he

:hehe:

Re: Fazool baatain

acha hai jo jald maan gayay sahab
warna too hai mera bhi gussa kharab
rotee jo jalayee hai wo khanee paray ge
ye baat too hamaree mannee paray ge

Re: Fazool baatain

khana roz ghar mein khate nahi hein
ulta ilzaam kisi pe lagate nahi hein
chalo aaj bahir kahin chalte hein
itne nakhre hum kisi ke uthate nahi hein
maana ke ghar ki murghi daal barabar hoti hai
lekin aap to kabhi bhi murghi pakate hi nahi hein

:smooth:

Re: Fazool baatain

sab keh kay bhi kehtay hain kuch kehta nahi mein
kay kisee kay lehaaz mein bhi chup rehta nahi mein
kuch bahar sath chalnay ki ayee hai awaz
ab bata bhi do is kay pechay kya hai jawaz

Re: Fazool baatain

har cheez ki waja hoti nahi hai janab
farq nahi parhta agar aap na karte lehaaz
jana nahi bahar to na jao aap
mein kabhi aapko nahi samjha na mujhe samjhe aap
khana hi khana hai, ghar mein kha len ge janab
socha thora sa kama lete sawaab

Re: Fazool baatain

gar farq app ko kisee baat say parta nahi hai
mugh bina kisee baat kay too utarta nahi hai
samjhna samjhana too rahee door ki baat
karay kon baat app say yeah mera hi hai demagh kharab

Re: Fazool baatain

aaj aap ne taanay dene bhi seekh liye hein
kya kya kaam aapke liye humne nahi kiye hein
bhool gaye sab kasmein aur woh pehla wada
aji chorye aise larhne jagarne se kya faida

Re: Fazool baatain

baat kya yeah yaad dilla de jee app nay
neened tak too maree urra de thee app nay
wo batain wo lamhay jab bhi yaad aatay hain
larayee mein bhi hamein kitna hasatay hain

Re: Fazool baatain

shukar hai aaj aap bhi hansay hein
shaadi ek daldal hai jis mein hum phanse hein
hanste rahen aap hamesha yeh dua hai meri
jaan maango to woh bhi aap pe fida hai meri

Re: Fazool baatain

chaloo ek pal ko hum sab kuch bhool jatay hain
yara phir say hum ajnabi ho jatay hain
dhekho zindagi main ab kitnay rang hain
ye soch kar mayree tou ankhein Nam hain

Re: Fazool baatain

bhool jana in baton ko na asaan ho ga
jo tumhein nadaan kahe woh khud nadaan hoga
aansoo poonch dalo ab to din hein pyar ke
sookhe patte nahi milte kyunke din hein bahaar ke

Re: Fazool baatain

khushee ka lamha jo milta hai
dil ko ek darr sa lagta hai
ye phir say beet jayay ga
Lout kay phir na aayay ga

Re: Fazool baatain

shayad aap ko ma'lum nahi aye ilm wali
yeh khushi hai kahin na jane wali
aisa sochna aap dil se nikal deejye
abhi ja kar thanda paani peejye

Re: Fazool baatain

Jab dunya hi fanee hai
too khushee tou aanee janee hai
main nay ki koyee nadani hai
ya yeah sachee prem kahani hai

Re: Fazool baatain

hum waqt barbaad kar rahe hein kyun
apni tanhai mein mar rahe hein kyun
kitni becheni se guzri thi woh ratein
is thread ka naam fazool batein?
kitni door tak aise hi jayen ge hum
dono mein ek jaisa hi hai dhum

Re: Fazool baatain

Fazool baatain hi sahi par kartay rahain hum
kam us kam khushee say too miltay rahain hum
ghamoom mein youn khud ko ghulatay nahi hain
guzray waqt ko phir youn dohratay nahi hain