:salam2:
If some1 would like to share jokes of Faraz or Ghalib or else in poetry then please feel free to post here.
Thanx
Apne donston ko main dil ki baat kesay samjhaoon “Faraz”
Ke muhabbat message bhejnay se nahi balance bhejnay se bharthi hy.
Dil cheer k bhi deikho gay to Dard dhond na pao gay “Faraz”
Kiyonke dard mere dil mein nahi tang mein hota hay.
Re: Faraz!!!
Dard deny se mohabbat barthti hay “Faraz”
Yeh keh kr woh meri ungli (fingure) darwazy mein dy gaya
Kitni ajeeb hai nekiyon ki justaju “Ghalib”
Namaz bhi partay hain phir se gunnah karny ke liyeh
Re: Faraz!!!
unki her ek ada ke hum kayal ho gaye,
unki tirchi nazar se jo hum ghayal ho gaye
assaliyat jani jab humne ki nazar he tirchi hai unki
to laga aisa sadma ki hum pagal ho gaye
Re: Faraz!!!
Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya
Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya
Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya
Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya
Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya
Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya
Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai
Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya
Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya
Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay
Or Jab..Main Ne Insaan’on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay
Re: Faraz!!!
haha awesome bahi ... too good
Re: Faraz!!!
Main to Sooraj hun meri umar hi kitni hai “Fraz”
Shaam hotey hi bhula deitey hain tere shehar k log
Re: Faraz!!!
**zindagi k kisi morr pr wo jan jaye ga FARAZ
jinni marzi shezan pee lo
amb amb e hunda ae...
**
Esix
May 25, 2010, 8:36pm
15
Re: Faraz!!!
ab to darr lagta hai kholne se bhi daraz
kahin us mein se bhi nikal na aaye faraz
P_G
May 26, 2010, 9:17am
17
Re: Faraz!!!
faraz sahab ko rooh ko kitna essal-e-sawab yahan pohanchaya jaraha hai
bohat achay !
Re: Faraz!!!
" Bola dukaandar ki kyaa chahiye tumhien
Jo bhi kaho ge meri dukaan per wo paoge
Maine kaha ke kutte ke khaane ka cake hai
Bolaa yahin pe khaaoge ya ghar le jaaoge "
Re: Faraz!!!
Ghum-e-Judai mein bohat jam piye hongain "Faraz"
Par sirf 'sprite' bujaye pyas baki sub bakwas...