wo zindagi jo guzarey nahin guzarti thi
terey tufil guzarey baghir beet gai
Re: ek shair
Wo mairay paas say guzraY to mehsoos ye huwa
Zindagi yun bhi dabaY paaoN guzeR jaatee hay
Re: ek shair
tum phool ho to kaya hum bhee nasoor hai,
tujhi pay ho sab ki nazar yeh zaroori to nahi......
Re: ek shair
Neend to maut k bistar pe bhi aa sakti hai
Unki aaghosh mein sar ho yeh zarori to nahi
Re: ek shair
Kiya Khabar Thi Zindagi Sarf-e-Duaa Ho Jayegi
**Un Kay Paaney Ki Tamanna iltijaa Ho jayegi
**
Re: ek shair
Aaj Tasveer Jo Teri Dekhi
Yaad Aya Hamein Janay Kya Kya
Re: ek shair
tere kafilay main ho lakhon tere chhahnay walay,
main tujh say jaoun bichher yeh zaroori to nahi........
Re: ek shair
Kehney Ko Mera Uss Se Koye Wasta Nahee
Amjad Magar Woh Shakhs Mujhey Bhoolta Nahee
Re: ek shair
Aaj Tasveer Jo Teri Dekhi Yaad Aya Hamein Janay Kya Kya
aap ney kahan dekhi :D
Re: ek shair
BhOOlTA nAHi WAH !
dil-e pur-arzoo nakam hokar
zyada khubsoorat ho gaya hai
Re: ek shair
kKoi dEkH RAha tHa SOCha thOrA tanG kiA jaAyE uskO !
Re: ek shair
*Mujh ko ruswa sar-e-mehfil to na karwaya karey
Kaash Ansso mere ankhon main hi reh jaya karey
*
Re: ek shair
***kahan tak aur mera saath dega
wo pehle hi yahan ruswa bohot hai
Re: ek shair
Hamaray Haal Par Jaana Bohat Khush Feham Mat Rehna
Dikhanay K liye Aaisay Dikhai De Rahe HAIn HuM
Re: ek shair
![]()
Re: ek shair
:k:
Re: ek shair
*kisii kaa dard ho karate hai.n tere naam raqam
gilaa hai jo bhii kisii se terii sabab se hai
*
Re: ek shair
chup reh k or berhti hay ander ki khamoshi
*koi naheen to khud say hi guft-o-shuneed kar
*
Re: ek shair
*Dilchasp waqiya hai keh kal ik aziz doost
Apnay mafaad per mujhay qurbaan ker gaya
*
Re: ek shair
Dil K Sunnatoun Mian rehnay walay Tanha Tum he nahe,
Tanhai say Batain Kernay walay Tanha Tum he nahe,
Is Ishq Nay berbaad kia hai her shaks ko,
Is Ishq Main Bikhernay walay tanha Tum He nahe,
Kehnay ko to Faqat Aik dil he Toota hay
Apna Sub kuch Lutanay walay tanha tum he nahe,
Hanstay Huway Chehrey hayn yahan sub kay
Derd Youn Chupanay walay Tanha tum he nahe,,
Shab-e- Tanhai Ki Dastaan Aik see Hay sub Ki
Andheroun Main Rehnay walay Tanha Tum he nahe
Aisa Lagta Hay Aik Saza ho Zindagi Meri,
Is Qaid Main Rehnay walay Tanha Tum he nahe...
Is sheher Main Or Bhe Dewanay Hayn AMAN,,,,
Der Der Bhataknay Walay Tanha tum He Nahe,,,,,