ek shair

Re: ek shair

Azal say hai mohabbat mawra lafzoon ki malaa say **
**Magar ye bhi haqeeqat hay

** Mohabbat soch k akash per badal ki soorat may **
Sada perwaaz karti hay **
*Kabhi barish ki boondoon may simat kar dil ki dharty per *
*Uterty hay - bikherti hay *
*Adaa lai kar saba say ye , gulaboon say mahak lai ker *
*Dhanak say rung lai kar aur sitaaroon say chamak lai ker *
*Haseen anchal banaty hay *
**Isy anchal say phir khowaboon k kuchay ghar banaty hay

** Mohabbat azmaty hay Kabhi ye shair bun kar lafz ki hurmat burrha ty hay**
** Kabhi ye saaz bun kar dheeray dheeray gun gunaty hay**
** Sarapa ankh bun jaty hay ye mehboob ko pakar **
Anokha lams bun jaty hay koi yaar may ja kar **
*Najanay koun sa manter ye purrh kar holay holay say *
*Kisy ki bund palkoon may bina dastak deye yak dam *
**Uter kar ghar banaty hay Mohabbat muskuraty hay

** Ye khushboo hay hamaisha phool ki sansoon may ho ty hay **
Bana day chand tera shab ko jo ye aisa moty hay
** Kasal hay daimy is may, bahat benaam lizzat hay **
MOHABBAT KI YAHI TAREEF HAY K “ YE MOHABBAT HAI “



Re: ek shair

nice