Farzaanoo’n ki Iss Basti Mein
Ik Shakhs tha Pagal pagal sa
Par Baatein theek hi kehta tha
Barish ki tarah Pur-Shor na tha
Darya ki tarah Chup rehta tha
Jin se Usay Pyaar Bala ka tha
Taaney bhi Unhi k Sunta tha
Ik Shakhs tha Pagal Pagal sa
Par Baatein theek hi Kehta tha
Ik Roz Koi To Sochay Ga
Dunya ne Usay Kuch Bhi Na Diya
Par Uss ne Jag ko Payaar Diya
Jaa’n Rotey Rotey Kho Baitha
Dil Hanstey Hanstey Haar Diya
Jo Naz’m Likhi Bharpoor Likhi
Jo Shair Diya Shahkaar Diya
Kyon Jeetey Jee Dargoar Hua
Kis Chah pe Tann Mann Waar Diya
Tha Dushman Kon Bechaarey Ka
Kis Ranj Ne Uss ko Maar Diya
Ik Roz Koi To Sochay Ga
Aur Pehroo’n Baith ke Roye Ga
for the unbeknowest beloved who could not speak up, it would be great if this all gets turned around and he smiles.
may he always smile.
amen.
dushwari