AQ
461
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
Ik ajnabi kuch aisee shanaasaai kar gayaa
mehmaan bun kaY rishta-e-Hamsaai kar gayaa
Jooti ussaY sunghaai thee kiss naY bawaqt-e-Naza’
woh kaun thaa jo aa kay maseehaai kar gayaa
kuch moo saY phooT-taa hee naa thaa meraa muda’aii
Khaamosh iss qadar thaa kaY ruswaai kar gayaa
subb uss kaY peechaY peechaY thaY jebaiN TaToltaY
WOh kiya gayaa kaY Bazm maiN Tanhaai kar gayaa
Yeh ishq thaa kaY uss naY grammar paRhaai thee
Maazi ko meraY, Maazi Tamannaai kar gayaa
SheereeN dahan woh pehlaY aisaa tau kabhi naa thaa
shayad yeh haadisaa koi halwaai kar gayaa
Hoti hai daanay daanaY pe Jedi kissi kee Moh’r
Daanaa jo laY uRaa, wohi daanaai kar gayaa

COCO
462
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
:halo:
AQ
463
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
pasand naheeN aayaa yaa samajh naheeN ayaa :(??
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]

kaafi deep hai
AQ
465
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
ziadah ghotaY naa lagaao, Doob jaao gee 
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]

ab aisi bhi koi baat nahi
mashallah bohat intelligent aur smart hoon
its so obvious

AQ
467
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
woh bhee yehi keh rahai thaY 
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
wo jo bhi keh rahey thay, un ki marzi
aap ko kyon khujli ho rahi hai :halo:
AQ
469
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
aap ko aap kee marzi saY khujli hoti hai 
Khujli tau apni marzi saY hoti hai…
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
itni philosophy mat jharaa karo bhi 
kabhi hosla bhi aazmaana chahyie
burey waqt mein mooskuraana chahyie 
jub 10 dino mein khujli na mitey
tu 11ve din nahaana chahyie 

AQ
471
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
asal qita’ yeh thaa 
kabhi hosla bhi aazmana chahiye,
buraY waqt maiN muskurana bhee chahiye,
chahaY kitni bhi thand paRaY haftaY maiN
aik baar tau nahana chahiye

Re: Eid-e-Saee'd ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
chalo phir isi shair per amal karo - might help :D
gaaye soap fedex kar doon
AQ
473
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
Joonaa bhee bhijwaa denaa… lekin mujhaY nehlaaYee gaa kaun :halo:
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]

apnaa kaam khud karna chahyie
awein maar khaa li - dheet log
AQ
475
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
dheet log naheeN, intelligent log

Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
nazar aa raha hai 
yea munh aur masoor ki daal 
(not sure if it goes here though
)
AQ
477
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
Daal
Qabeela PaaL

Re: Eid-e-Saee'd ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
huh
AQ
479
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
phaNs gayeeN naa 
abb boojho tau jaanooN 
Re: Eid-e-Saee’d ::: Kullun Aam wa Antum bakhair ::: [Merged]
koi zaroorat nahi jaananey ki
aur itna khush na ho. bara teer mar liyaa hai jaisay 
