disturbed coz of husband's behaviour

Re: disturbed coz of husband’s behaviour

Sorry to say this but your Hubby sounds like a real kameena.

If i was in your place then i would have left him there and then and probably would have given him teen chaar sakht kisam ke chamaat.

agar usay tumhara apni ammi ke ghar jana nahi pasand (is liye ke woh tumhare saath zaida waqt guzarna chahta hai) tou woh yeh baat araam se bhi keh sakta hai ke like thora jana kam kardo kyon ke main chahta hoon ke hum zaida se zaida time saath main guzarain..zahir tumhare maa baap sabse pehle atay hain tum tou jaogi hi. agar bas awien hi rok raha hai tou usay koi haq nahi banta. tumhari marzi hai tum jitni martaba chahe apne parents ke ghar jaao.

sabse apna checkup karwa ke confirm karo ke pregnant ho bhi ya nahi takay is fikar se chutkara milay.

secondly thande dimagh se khud socho ke kya tum is mauhol main guzaara karna chahti ho.

insaan apni adaatain badal leta hai lekin ek dam se nahin. kuch loag jald badal lete hain aur kuch loag waqt guzar jane ke baad.

agar tum pregnant ho tou usay batao ho sakta hai woh theek ho jaye…lekin is intezaar main ke woh theek ho jaye ga hamesha intezaar mat karti rehna.

tumhare saas susar tumhare saath kaise hain?

mera mashwara yeh hai ke tum apni ammi ke ghar jaao unka ghar sambhalne. apne mian ko bata do saaf saaf ke tumhara jana zaroori hai chahe wo jo kuch bhi kahe. koi dhamki deta hai tou darro bilkul bhi nahi balke confidently agay se jawab do.

darasal tum hamesha se sab kuch bardasht karti ayi ho isi liye woh chaurr hogaya hai.

agar tumhare jane ke baad wo waqayi tumhe tallaq de deta hai tou bilkul bhi mat ghabrana na hi us ke samne kamzor parna…usko dikha dena ke you are not dying for him.

jab tak apni ammi ke ghar ho koi wazeefay etc aur duain (daroode tanjeena) karo inshallah allah koi behter hal nikal de ga. ameen

btw jab tum ne apni ammi ko bataya tou unhon ne kya kaha?

ek baat per i will emphasis ke yeh mat sochna ke “nahi main us se pyar karti hoon aur alag hone ka soch bhi nahi sakti..balke yeh sochna ke kya yeh takleef de pyaar hai ya sukoon wala”

all the best