Intheahi sanjeedgi say apnay mood ko sanjeeda kia…
Neem kay tree ki sab say oonchi shaaq ko chuna k yahan kafi sukoon hoga… (lekin kia khaak sukoon tha, wahan to Koyal ki baiti aur Kaway kay Baitay main ghumsaan ki jang jaari thi…)
Khair… tree ko badla aur phir aik Tarbooz kay tree ko apni panah gaah banaya… wahan say Nariyal bhi torhta raha sath sath aur gapa gapp khata raha… phir socha k main to kuch ochnay ko aaya tha yahan…yehi soch kar aik zor daar cheek maari jissay sunn kar tamaam parinday juloos ki shakal main meray ird and gird mandlaanay lagay… kuch nay to meray khilaf play card bhi utha rakhay thay k … Zalim insaanon say hamari hansti basti dunnia ko ujarnay say bachaya jai… and wagaira wagaira…
kafi dair tak sab parndoN ki thongain bardasht kin, jab over coat main soorakh ki koi jagah na rahi to main nay phir say aik cheekh maar di, jissay sun kar sab parinday wapis apni apni dabak gayay… aaj wo over coat aaat channay k kaam araha hay…
Khair jinaab, iss say pehlay k sanjeedgi apni hadd ko paar kar kay rafoo chakkar hojai, main sirf yeh kehna chahta tha k main nay pooray khushoo and khuzoo kay sath ittay dinoN baad aik adad article apnay Journal main likha… jiss ka topic tha kay …
‘Dil aik Mandir nahi hay…’
uss main main nay kafi Golden words apnay hathon say likhay… leikn yahan adab ki qadar hi kahan hay… har shaks bay adab bana howa hay… bay adabi ki had say guzarnay walay ko log apnay bojhal kandhon par bithatay hain aaj kal…
iska subootmeray journal main Problemetic_girl ka wo reply hay jiss main unn mohtarma nay farmaya kay ‘Dil aik Bandar hay’ …
My koistunn is that:
Agar Dil aik Bandar hay to phir wo kia hay jo aik aashik apni mehbooba ko daita hay ? :s
Munjabib Jinaab Haji($) Dada Khan Sahib Karachvi-o-USAvi…
sigh… aap kay seenay main ‘bandar’ nai balkay pathar hay aik masoom say bachay ka dil tirh dia yeh keh k urdu parhni nai aati… arrey agar nai aati to kisi arabi say trans lation karwalaitin :s
agar larkon ka ‘bandar’ na uchlay to larkion ki to saari umar ayeenay say hii yeh poochtay howay guzar jai, k … aayay aayeenay zara batao to main aaj kasi lag rhi hoon :-p …
*Pg, *
agar uss ka naam tension hay to phir wo kia hay jo pait main hoti hay aur jiss kay baad Entox ki tablet khai jaati hay ? :s
kia aik say ziaada differenet cheezon k aik hi naam hosaktay hain ? :s
ajeeb tension main daal dia, mera bandar kafi uchal raha hay yeh jannay k liay :S
kya bandar bandar laga rakhi hai tum bandaro nay .... oh i mean tum logo nay ... dil dil hota hai aur bandar bandar hota hai ... jis kay pas dil nahi hota woh bhi bandar nahi hota aur har bandar kay pas bhi dil hota hai ... to pher jhagda kis par ho raha hai dil par ya bandar par ...
agar larkon ka 'bandar' na uchlay to larkion ki to saari umar ayeenay say hii yeh poochtay howay guzar jai, k ... aayay aayeenay zara batao to main aaj kasi lag rhi hoon :-p ...
yani aik to parha bhi nai aur phir oopar say order bhi dia k plain wali urdu main convert karoon, aur phir khud hi katti bhi karl li and chali bhi gayeen
achaa kardoonga plain wali urdu main convert, lekin katti q ? :s …
I just wanted to say hello to you. Kaisey hain ap?
P.S. Bhai i really want to read all the stuff you wrote but cant because im already tired of studying and reading :( Exams :( :( so i cant reply related to the topic. Sowwy.
P.S. Bhai i really want to read all the stuff you wrote but cant because im already tired of studying and reading :( Exams :( :( so i cant reply related to the topic. Sowwy.
Naina,
The idea is to come say hi hello, and keep in touch, you came, ... you said hello and asked me about myself... so what else a bro would like to listen from his siso? :-)
I am all right siso, by the grace of Allah, and how about you? why tired? go and take some sleep and then start study, dont stress much and do some rest always, I am here gs is here, come again and read and reply, but its not that important tho ... go get knowledge and inshAllah exams and result will be perfect :-)
and dont ever make those blue faces infront me, warna pitai hogi :-p