Re: Diff between Siwaa and Ilaawa
Gher mehramon ka shukarguzzar hona buri baat hai
app perda ker k shukriya ada ker lain : P
Re: Diff between Siwaa and Ilaawa
Gher mehramon ka shukarguzzar hona buri baat hai
app perda ker k shukriya ada ker lain : P
Re: Diff between Siwaa and Ilaawa
Apni wife se kahen GS join Karen, samjh Aa jaye gi unke bat.
haN, good idea...please unkaa naam aur pataa jaldii se bataayeN...maiN baaraat le kar pahoNchtaa huN abhii ke abhii :D
Re: Diff between Siwaa and Ilaawa
bohat assan hay ap nay Laa ilaha ilal Allah ka meaning hamesha yehe perha hoga
Allah kay** siwa **koi mabood nahi ....yahan ilawa bhi aa sakta hay lakin SIWA ka istimaal zyada mashoor or maroof hay bawajha is ki munasibat k
isee terah dukandaar say app us ki products ki baat kerain to app kehtay hain **is k ilaawa **app k pass kia kia hay ..yahan siwa kaha ja sakta hay lakin sunnay main munasib or acha nahi lagta
apka jawab kuch had tak theek lagta ha lekn qalma ka tarjuma zaban zad aam honay waja se ap es ma siwa k bjaye ilaw use karnen to ghair munasib lagay ga.
mere khayal siwa aam taur pe nafi(-ve sense) k leay use kia jata ha.
Examples:
es k elawa ap k pass aur kaun si variety hai.
A: stylo chalain shoping k leay?
B: kahen aur chaltay hain, oon k pas sandles k siwa hai hi kia.
Now swap "siwa" and "ilawa"
es k siwa ap k pass aur kaun si variety hai.
A: stylo chalain shoping k leay?
B: kahen aur chaltay hain, oon k pas sandles k ilawa hai hi kia.
Agr en dono exaples se farq wazih nahi hota to meri bhi yehi raye k en dono alfaz ma ko farq nahi ha.