koii shimma baraabar bhii farq nahiiN hai!…yeh Husn e iste’maal e lafzii hai…kabhii jumle meN 'ilaava ziyaada mauzooN lagtaa hai to kabhii sivaa/sivaaye. ab koii jiddat pasand is meN farq nikaale to yeh sirf uskii soch hii ho saktii hai jiskaa zabaan se koii ta’alluq nahiiN.
sivaaye Hindinized version hai Arabii word SIVAA kaa…is is gaane meN maiN ne kabhii sunaa thaa…yahan lyric write kii majboorii-e-qaafiya_bandii thii…he used his God given right of Poetic License!
moHtaramah Yusuf Bhai [legendary Dilip Kumar] kii **ahliya **haiN…Saira Banu!
tumheN aur kia duuN maiN dil ke sivaaye
tumko hamaarii umar 'umr] lag** jaaye!**
There used to be a current affair show on PTV, by the name of Pas Manzar, hosted by this guy called Laeeq Ahmed. One day he started the show by saying that 'I want to correct myself. In yesterday show I used the word ilaawa while I should've used the word siwaa'.
This must be 30 years ago min. To this day, I cant tell the diff between these tow words. Hope you guys can help.
meaning aik hai sirf istimaal k layhaaz say ferq ho jata hay ... or yeh jub zaban per maharat ho to khud ba khud samjh aajata hay k kahan kon sa lafz munasib hai...
meaning aik hai sirf istimaal k layhaaz say ferq ho jata hay ... or yeh jub zaban per maharat ho to khud ba khud samjh aajata hay k kahan kon sa lafz munasib hai...
ajeeb Altaf Hussain qsim ka asnwer diya hai aap ne aunty. Meaning ek hai par istemaal main farq hai. Agar istemal main farq hai to meaning ek kaise hui?

mujhay to lagta hay shaid mainy app ka udhar liya hoa hay ya app ki mujj lay ker bhaage hoon...itnay tanz kernay k bad app nay ikhtilaf kia...
lakin mujhay MUZNA nay batya hai k jub app koi aqalmande ki baat kerain to GS per log app ko aunty kehna shuroo ker daytay hain..
istimaal main ferq say muraad yeh k kuch cheezoon main ilawa kehna faseeh ul lisaan hay or kuch cheezon k ley siwaa kehna .. yanee jis say jumla khoobsoorat or acha lagay ...,yeh bohat assan bat hay ..pata nahi app kion uljh rahay hain..
bohat assan hay ap nay Laa ilaha ilal Allah ka meaning hamesha yehe perha hoga
Allah kay** siwa **koi mabood nahi ....yahan ilawa bhi aa sakta hay lakin SIWA ka istimaal zyada mashoor or maroof hay bawajha is ki munasibat k
isee terah dukandaar say app us ki products ki baat kerain to app kehtay hain **is k ilaawa **app k pass kia kia hay ..yahan siwa kaha ja sakta hay lakin sunnay main munasib or acha nahi lagta
istimaal main ferq say muraad yeh k kuch cheezoon main ilawa kehna faseeh ul lisaan hay or kuch cheezon k ley siwaa kehna .. yanee jis say jumla khoobsoorat or acha lagay ...,yeh bohat assan bat hay ..pata nahi app kion uljh rahay hain..
Tou iss ka matlab hai ke TLK ek bohut hee faseeh ul lisaan lafz hai. Jis jumlay main dalo, jumla khubsoorat ho jaata hai
Tou iss ka matlab hai ke TLK ek bohut hee faseeh ul lisaan lafz hai. Jis jumlay main dalo, jumla khubsoorat ho jaata hai
TLK lafz nahi mukhafaaf hay app kay naam ka..ab agar baat samjh agye hay to mera shukriya ada ker dain k 30 saal say app ko yeh masla nahi samjh aaraha tha: P