u forgot Amma ba'adu Fa'aouzu billahe minashaitaan-i-rajeem
main samjhaa khutbaa shutbaa dainay ka iraada hai :)
Thanks chacha jaan.
Per hum nain zindagi main kabhi use naheen kiaay yay ilfazat. suna hai kai baar. Maani bhi bata dain kia hai aur kioon use hota hai meharbani hogi ainda add karain gay.
lol.
Chalo achchi cheez hi sochi. Kash main khutba bhi day sakti kum uz kam chacha jaan to hamatun khargosh hokar suntay.
Ji meray khiaal main har kaam shuru karnay say pahlay bismillah karna chahay. Bismillah par'h kar kaam shuru karnay say shaitan shamil naheen hoga aap kay kaam main. Jub log par'htay hain to salam bhi karna chahyay muft main sawab milay ga.
Allah aap ko bhi dunia aur akhiraat main bay tahasha khush rakhay aur sub kay liaay khushion ka zamin banain apnay ghar main bhi aur GS pay bhi. Ameen.
Masha Allah.
Allah tala jub khush hotain hain to barish hoti hai. I love raining.

SumAmeen Thanks for the lovely Dua **
**and aap k liay b same Dua :-)
*liken jab ALLAH ta,ala jab naraz hotay hian tab b barishian hoti hain liken bohat he zaida barishian *
I m living in islamabad but not from Islamabad basically :-)
aji inn alfaaz main shaitaan kay shar say bachnay kay liye panah maangi gai hai....
aur iss post main aap nain urdu zubaan par itnay zulm kiye hain kay keh rahi ho gi baqoul-e-ghalib:
kyoN naaN cheekhoN kay "zulm" kartay hainmeri awaaz gar nahiN aati
joke :D
*bas banday ko samaj ani chiay yahi kafi hay and i m sure k what she had written aap ko samaj a gaie hay is liay kesi ka is terha mazaq urhanay say behtar hay k aap parhien he na *
aji inn alfaaz main shaitaan kay shar say bachnay kay liye panah maangi gai hai....
aur iss post main aap nain urdu zubaan par itnay zulm kiye hain kay keh rahi ho gi baqoul-e-ghalib:
kyoN naaN cheekhoN kay "zulm" kartay hainmeri awaaz gar nahiN aati
joke :D
Thanks chacha jaan aap ki bar'i maharbani kay aap nain hamain bata dia.
Per ghaltiaan naheen bataeen wo bhi bata detay to hum dusrut kartay takay ainda koi bata hi na sakay daikha kitni chalaki ati hai hamain.
Waisay hamari mother tongue urdu hai per lugta hai yahan rah kar urdu ka itna istamal naheen hai to kuch bhooltay jaa rahay hain.
Mistake zaroor batain. Ain nawazish hogi. Aap ki tarha hamain bhi bar'a dukh hota hai jub koi ghalat urdu istamal karta ya likhta hai to.
Koi baat naheen IS bhai main zara bhi bura naheen manti. Na hi ghalitti batanay pay aur na hi mazaq ur'anay pay agar hud main rah kar mazaq ur'ya jaay to.
Chacha jaan ghalti baraay ghalti ho na kay zabardasti.
SumAmeen Thanks for the lovely Dua **
**and aap k liay b same Dua :-)
*liken jab ALLAH ta,ala jab naraz hotay hian tab b barishian hoti hain liken bohat he zaida barishian *
Jazak Allah khair per hum same dua say naheen manain gay.
Hamain to is say achchi dua chahyay.
Hazrat Muhammad sallallah o alaihi wasallim nain kaha hai jub koi tum ko dua do to uss say achchi dua do naheen to utni hi.
Haan jub Allah tala naraz hotay hain to bhi barish say izhaar kartay hain.
Wow aap bhi hamari tarha Ghar main rahtay hain. Hum sumjhay thay ghar say bahar rahtain hain achcha kia bata dia.
Waisay aap ka talluq kahan say hai.
Islamabad to bohat khoobsoorat hai. Hum wahan ja chukay hain aur hamain bohat pasand aya khaaskar wo road jis kay dono taraf phool hi phool hain.