Re: Did Anything make you happy today?
He He u r funny AQ bhai.
Naan to khaya jata hai.
Aha ha ub hum Chacha jaan ki ghaltiaan nikalain gay.
Hum to sirminda hotay hi naheen. Ghalti to akhir insaan hi karta hai na.
Re: Did Anything make you happy today?
He He u r funny AQ bhai.
Naan to khaya jata hai.
Aha ha ub hum Chacha jaan ki ghaltiaan nikalain gay.
Hum to sirminda hotay hi naheen. Ghalti to akhir insaan hi karta hai na.
Re: Did Anything make you happy today?
Heera nay Farmaaya
*AQ Bhai *
laikin apnaY baaraY maiN naheeN bataayaa
*thor'i intro bhi day daytay NA *
aakhir maiN NA laga kar intro lainaY saY khud hee inkaar kar diyaa
*ki hum to bilkul na blad hain inkay baray main. *
Lucky you..
Wajah bhi bata detay kay kioon aap khush hain.
resignation of Naseem Ashraf.. already mentioned
Re: Did Anything make you happy today?
par mujhe batana nahin pasand ![]()
last warning hai… phir kaha to bataa doon ga ![]()
Re: Did Anything make you happy today?
Batain batain batain.
Aap ko bhi last warning hai ub naheen bataya to aap kay ashaar kay par’akhchay ur’a dain gay phar’ kar. Ha ha dar gaay thay na kaheen golion say na par’akhchay ur’a doon.
Re: Did Anything make you happy today?
Heera nay Farmaaya
*AQ Bhai * laikin apnaY baaraY maiN naheeN bataayaa
*thor'i intro bhi day daytay NA * aakhir maiN NA laga kar intro lainaY saY khud hee inkaar kar diyaa
*ki hum to bilkul na blad hain inkay baray main. * Lucky you..
Wajah bhi bata detay kay kioon aap khush hain. resignation of Naseem Ashraf.. already mentioned
Kiaa hum farmanay bhi lagain hain kub huwa yay hadsa hamain bhi to pata chalay.
Hum to baka kartay hain. Zaidatar to hum bakwas kartay hain.
Shukria is izzat ka.
NA ka matlub na naheen Naseem Ashraf tha.
Re: Did Anything make you happy today?
aap nahin maantiN to ye laiN :p
Thanks chacha jaan.
Per hum nain zindagi main kabhi use naheen kiaay yay ilfazat( alfaaz hota hai). suna hai kai baar. Maani bhi bata dain kia hai aur kioon use hota hai meharbani hogi ainda add karain gay.
lol.
Chalo achchi cheez hi sochi. Kash main khutba bhi day sakti kum uz kam chacha jaan to hamatun khargosh(hamatan gosh hota hai) hokar suntay.
Ji meray khiaal main har kaam shuru karnay say pahlay bismillah karna chahay. Bismillah par'h kar kaam shuru karnay say shaitan shamil naheen hoga aap kay kaam main. Jub log par'htay hain to salam bhi karna chahyay muft main sawab milay ga.
Re: Did Anything make you happy today?
Heera nay khud bakwaas kee
Kiaa hum farmanay bhi lagain hain kub huwa yay hadsa amain bhi to pata chalay.
Kuch logouN ko izzat raas hee naheeN aati
Hum to baka kartay hain. Zaidatar to hum bakwas kartay hain.
JaanaY kiouN loug har damm bakaa kartaY haiN
lafz kaY badlaY gham-e-urdu diyaa kartaY haiN
Shukria is izzat ka.
agar fit naheeN aa rahi izzat tau waapis kar dau ![]()
NA ka matlub na naheen Naseem Ashraf tha.
tau waheeN par bataanaa thaa naa… kay piyaar saY NA bol rahi ho uss chapaR qannati ko.
Re: Did Anything make you happy today?
ignored
i m not here for fighting so just ignored
Re: Did Anything make you happy today?
but only one I remember from Ibn-e-Safi’s Imran series was Juliyana :love:
Re: Did Anything make you happy today?
Jazak Allah khair per hum same dua say naheen manain gay.
Hamain to is say achchi dua chahyay.
Hazrat Muhammad sallallah o alaihi wasallim nain kaha hai jub koi tum ko dua do to uss say achchi dua do naheen to utni hi.
Haan jub Allah tala naraz hotay hain to bhi barish say izhaar kartay hain.
Wow aap bhi hamari tarha Ghar main rahtay hain. Hum sumjhay thay ghar say bahar rahtain hain achcha kia bata dia.
Waisay aap ka talluq kahan say hai.
Islamabad to bohat khoobsoorat hai. Hum wahan ja chukay hain aur hamain bohat pasand aya khaaskar wo road jis kay dono taraf phool hi phool hain.
ji aap k liay bohat di duaien aor sari achi wali :D
islamabad khooobsurat + pursukoon wesay kam lougoon ko he raas ata hay islamabad
Re: Did Anything make you happy today?
fighting ![]()
i’m just trynaa have a light hearted converstion man… not here to pick no fights and neither did i say anything so offensive that we could have a fight over it.
fine i wont joke with u again.
Re: Did Anything make you happy today?
YES...Nothing made me happy today :D
Re: Did Anything make you happy today?
Darasal hamari aik website pay us say dosti huwi pm phir email wo lar'ki thi aur main lar'ki apni baton aur naam say us website pay laikin bohat say lar'kay lar'ki ka naam bhi rakh laytay hain so hamain shuk tha kay wo pata naheen lar'ka hai ya lar'ki per unhain hum pay bilkul shuk naheen tha.
Phir kisi wajah say unhain hum pay shuk ho gia hai kay hum lar'ka hain to unhon nain kaha wo lar'kon say baat naheen karteen hain is liaay apni awaz sunain aur hum unpay aitabar naheen kar rahay thay aur hum kisi lar'kay ko apni awaz naheen sunana chahtay thay.
*Phir unhon nain hamain dhamki di kay dosti khatam jub aap ko yaqeen naheen to. Phir hum nain socha hum shuk ki bina par itni achchi dost ko khona naheen chahtay. *
Hum bhi na lar'kon say baat karna chahtay hain aur na hi awaz sunana chahtay hain akhir hum nain rizq liaay kay hum bohat thori si awaz nikal kar suna dain gay laikin aap ko bhi apni awaz sunani hogi takay hamain bhi confirm ho jaay.
Unhon nain kaha aap lar'ki howi to main to awaz bhi sunaoon gi aur baat bhi karoon gi.
Phir hum nain baat ki wo bhi lar'ki hi thi. Phir ham donon ko itni khushi ho rahi thay kay bayan say bahir hai.
Aur janain kioon hum dono ko aik doosray ki awaz yoon lagi jaisay bohat suni huwi hai.
I'm very happy. First time in my life I made friend and on internet.
behan achi story hai
kisi akhbaar main publish karana:)
Re: Did Anything make you happy today?
rain fall makes me happy today !