Re: Nawha Thread
*
bazaar kay manzar ko aur apnay khulay sir ko bholi nahi main
bazaar kay manzar ko aur apnay khulay sir ko bholi nahi main
apnay bandhay hato ko bemar kay zewar ko bholi nai main
apnay bandhay hatho ko bemar kay zear ko bholi nai main
bazar kay manzar ko ......
uthi huwi andhi ho mehshar ko bayaban ko
chuptay huwy soraj ko tarekhi ko medan ko
chaltay huwy khanjar ko
nezay par tery sir ko
bhooli naih main
bazar kay manzar ko aur apnay khulay sir ko bholi nai main
masoom ko sakeena ko barhty huwy nezo ko
dukhty huwy galo ko beraham tamacho
bholi nahi main
bazar kay manzar ko
jis raat main tanha thi us raat kay dhalnay ko
totay huwy nezay ko us raat kay pahray ko
baco kay sisaknay ko aflas kay bistar ko
bhooli nahi main
bazaar kay manzar ko aur apnay khulay sir ko bholi nai main
ek chand sa badli main chupta tha nikalta tha
parda dar-e-khema ka uthta tha kabhi girta tha
woh khema-e-laila say haye rukhst-e-akbar ko bholi nahi main
bazaar kay manzar aur apnay khulay sir ko bholi nahi main*