Meri pehli nazm “Kabhi kabhi shaam ke is pehar .. main soochta hoon” ke reply main Dhoop sis. nay eik mashwara diya tha .. jisko parh kar main eik aur nazm likhnay par majboor hogaya … hazir-e-khidmat hay .. “Dosti ka pul-seraat”.
Dhoop Sis ka mashwara kuch yoon tha :
**
rah-e-wafa maiN koee aakhree muqaam nahiN
shikast-e-dil ko muhabbat ki intihaa na samajh,
palat kay aa-ay ga wo bhi gaee rutoN ki tarha
jo tujh say rooth gaya hai usay judaa na samajh
**
Jawaban arz kiya hay :
kuch bewafaoon ki, rafaqat ka, hay qasoor ..
kuch hamnay, mohabat ko bhe, badnaam kia hay ..
kehtay rahay, ke dost hain, aur dost rahain gay ..
dosti ko kuch, is tarhaan se, sar anjaam kia hay ..
guzri rutoon main, ham tou rahay, onkay aas paas ..
aati rutoon nay, shayad hamko, baandh diya hay ..
tanhaiyoon ke darr say, agar chook jatay ham ..
na dost rehtay, na hee, mohabat ko patay ham ..
tanha hain aab tou, soochtay rehtay hain raat din ..
kiya dost keh kar, ham nay ghalat kaam kiya hay ?? ..
rootha hay agar koi, tou, mujrim hee hongay ham ..
kehta hay agar koi, tou, buzdil hee hongay ham ..
roothay howoon ko, waqt nay, samjhaya bhee bohot ..
roothay howoon nay, ham ko hee, ilzaam diya hay ..
lazim tha mohabat ko, dil main chopatay ham ..
khud ko dooba ke, dost ko he paar laatay ham ..
chahat bhee rahi, dosti bhee haath barhaaey ..
hamnay tou dosti ko kass ke thaam liya hay ..
main maanta hoon, tujhsay, mohabat rahi mujhay ..
panay ke tujhko, har ghari, chahat rahi mujhay ..
chalta raha main phir bhe, dosti ke, pul-seraat par ..
na pooch kis tarhaan, issay, tamaam kiya hay ..
khauf-e-hijr nay, har lamha, daraya hay mujhay ..
husn-e-jamal nay, terey, behkaaya hay mujhay ..
mushkil tha bohot, arzo-e-dil ko maarna ..
hamany bhe dil ka qatl, sar-e-aam kiya hay ..
khair …
mohabat na mili, dosti tou, paas hay meray ..
mohabat ko pakay, kis nay bara kaam kia hay ..
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif
**
I am like an Open Book Except for the few pages of my past, My life is an empty book. It takes the shape of a mystery, To me it does at least. For I cannot tell what happens next, Too many cliffhangers and too much suspense. But its clues all lead eventually to the same place, Unfortunately it does not say where. It only says get the next book, For in this one you’ ve ran out of room.
[This message has been edited by Azam#1 (edited April 21, 2002).]