dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

haaN…yehii lafz aam muravvij hai. bal k ziyaada tar paRhe likhe log to iron kahte haiN…magar urdu kaa asl lafz aahan hii hai jo shaaz o naadir hii iste’maal hotaa hai…koi aisii kitaab jis meN saqeel urdu paaii jaatii ho to us kitaab meN aahan kaa lafz hogaa…maiN en ek novel meN paRhaa thaa…maiN ne Khud to nahiiN paRhaa thaa kiuN k maiN novels nahiiN paRhtaa…merii sister ne mujh se meaning poochhii thii to maiN ne use lohaa bataayaa to us ne kahaa k it doesn’t make sense…to jab maiN ne pooraa jumlaa siyaaq aur sabaaq ke saath paRhaa to pataa chalaa k aahan iron ko kahte haiN. :slight_smile: