Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai
Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai
Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai
Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai
… Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai
Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai
Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they
Band aankhon se usko jata dekh liya hai
Re: dekh liya hai
Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai
Muhabbat khush fahmiyon aur dilason ka naam hai..
Very nice ghazal by Parveen Shakir.. nicely sung by Anuradha & Sonu Nigam.. aap ne suni hai?
Re: dekh liya hai
jee abhi kuch dair pehly suni… truly awsum
ehsan
4
Re: dekh liya hai
Aaj kul toh Bury waley bhi shayri karnay lagay. 
Re: dekh liya hai
Bure waley? from the city Buray wala?
ehsan
8
Re: dekh liya hai
Burewala or Bury mein zayadah faraq nahin. 
Re: dekh liya hai
ehsan uncle ap hmary town ka yun mazaq matt uraye…
ap ko kya pata hoga ap so k utho gy to pata chaly ga na :hinna:
jagty raha karo birmingham walo
ehsan
10
Re: dekh liya hai
Ghalti say garee eik baar Bury chalee gayee. :no:
Birmingham waley jagtey hee rehtey hain. 
Re: dekh liya hai
ap tomtom lgaty to pata chalta.. hmara bury hy hi aisa k koi bhi kheencha chala aye 
jagty ho na isi liye bury puhanch gaye 
ehsan
12
Re: dekh liya hai
Tom tom toh tha lekin lagaya nahin, socha rastay toh maloom hai, buss eik morr ghalat ley liya aur buss Bury pauhnch gaye. 
Re: dekh liya hai
ager jaag rahy hoty to moar galat nahi lety na 
ehsan
15
Re: dekh liya hai
Aab burhappay mein yeh toh hona hee hota hai. 
Aap ASDA toh nahin gayee hongee. 
Re: dekh liya hai
ye to hai .. isi liye kahun main baithy baithy so kyu jati hun 
roz jati hun per BURY waly
ehsan
17
Re: dekh liya hai
Aap toh abhi choti see bachee hain, burhi kahan say.
Bury mein ASDA bhi hai. 
Re: dekh liya hai
2 ASDA hain mashallah
choti kahan hun.. bhurhi ho gyi hun.. akhoo akhoo
Re: dekh liya hai
lgta hai apny BURY town nahi dekha.. THE ROCK
wahan as pass k sabhi town sy log aty hain its beautiful...