Dam nikalna !

ajj ammi nay baray arsay baad fermaaish kee beta rica boil ker daina

rice boil kerna kia mushkil hay ?

lakin mushkil us waqt hota hay jub app chawal ko dam per rakh ker Gupshp per login ho jaao

ab threads or blog entries perhtay perhtay 30 35 minutes to kaheen nahi jaatay

lakin hota yoon hay ki udher kitchen main ChawlooN ka dam nikal jata hay

to rice to ab tyaar hain ik dam …lakin

jalay hoye blush

moral of story >
hazarooN khuwahishain aysee k her khuwahish per DAM niklay !

ab app ko yeh batana hay woh kon sa behtreen bahana hay
jo mujhay ammi abu or bhaiooN kay saamnay banana hay bummer

Re: Dam nikalna !

lol . . . Bahana bananay ki kia zaroorat hay . . .

Khana hay tau khao nahin tau bhar main jao :asa:

My sister use to say that when she messed up . . . . golden days :wub:

Re: Dam nikalna !

wah kya chawal banaye aap ne:@:

Re: Dam nikalna !

^ bus kabhi gharoor nahi kia : )

malik zulfi > main aytraf-e-jurm hee ker liya hay ...

Re: Dam nikalna !

bahana banaanay kee kiy zarrorat hai, chawal kee kheer bana lain .. ammi abbu bhee khush ho jaa'ain ge

Re: Dam nikalna !

I can never leave the choola unattended, I stay in the Kitchen until the food is cooked.

Re: Dam nikalna !

^ app to sherminda ker rahee hain : (

jalay hoye chawloon ki kheer kah ker app hee khush ho saktay hain mere ammi abu nahi snooty

Re: Dam nikalna !

thori si jali hoi kheer ka tou alag hi maza hai :yummy:
jalay huay chawal phaink do, aur naye bana lo simple :slight_smile:

My Sister is pro in this regard . . . she never admitts her fault :@:

Re: Dam nikalna !

GS - truly makes ur rice overboiled

Re: Dam nikalna !

phir kitni pitai hui?

Re: Dam nikalna !

Shukkar hi sirf chawal ka damm nikala tum ne :p

:rotfl:

:dixsi: malik bhai, :rotfl: ye nemat-e-khudaawandi hay, THOK ke bhao implant kari gayi thee is sanf main..

Re: Dam nikalna !

gizzy^ mainay nahi Gs nay hoonh

naye bana lo ? jee nahi main itnee bhi achee nahi snooty

errrrrrrrrr overboiled or naraz

app kahan say tapkay ?

Re: Dam nikalna !

app kis kay satayee hoyee hain?? wife k ya sister k : P

Aray Bhai Confused Yeh THOK K Bhao Kab Say Lagnay lagay :faizy:

Re: Dam nikalna !

Keh Do Tabiyat Sahi nahi thee Is Li’aY … Simple :chai:

Re: Dam nikalna !

^ ik din bad a ker bata rahay hain ...rat gayee bat gayee : P

aap ne kabhee mitti kee piyaliyon main 'lagee' hui feerni khaa'i hai. Lucknow main eik zamanay main shurfaa baree raghbat se khaatay thay..

'lagee' hui means wo feerni jo pakaatay waqt pateeli main neechai lug jaa'y to oos main jalnay kee smell aati hai thoree thoree

Atay P^G Main Har Waqt Late Kiyun Ho Jaata Hoon Pakistani Police Ki Tarah :smack:

Koi Baat Nahi Next time yeh Bahana Bana Layna :wink: