Re: Competition
**First entry!
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehr ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon sey
So apnay aap ko barbad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e naaz us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shaghaf
So ham bhi moajaze apnay hunar ke dekhtay hain
Suna hai bole to baton se phool jhartay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat usey chand takta rehta hai
Sitaray baam-e-falak se utar kr dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhein
Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thehar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh kar hain kaklain us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aah bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke labon se gulab jaltey hain
So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhtay hain
Suna hai aaina tamsaal hai jabin us ki
Jo sada dil hain ban sanvar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi lal-o-gauhar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan mein
Palang zawaiye us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
Ke phool apni qabayain qatar ke dekhtay hain
Woh sarvqad hai magar begul-e-muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain
Bass ek nigah se lutt-taa hai qafila dil ka
So rahravaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay thehar ke dekhtay hain
Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khwab hai taabir kar ke dekhtay hain
Ab us ke shehar main thehrain ki kooch kar jaein
Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hain
**