**Kaho wo dasht kaisa tha?
Jidher sab kuch lutta aye
Jidher ankhein ganwa aye
Kahasailab jaisa thabohat chaha k bach niklein magar sab kuch baha aye
Kaho wo hijr kaisa tha ?
Kabhi choo ker osay daykha!
To tum nay kiya bhala paya
Kahabas aag jaisa tha ` osay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aye
Kaho wo wasl kaisa tha?
Tumhay jab choo liya os nay
Tu kiya ehsas jaagah tha?
Kahaik rastay jaisa 'jidhar say bas guzarna tha `makaan laikin bana aye
Kaho wo chaand kaisa tha ?
Falak say jo uter aya!
Tumhari ankh may basnay
Kahawo khawab jaisa tha nahi taabeer thi oski ik shab sulla aye
Kaho wo ishq kaisa tha?
Bina sochaybina sumjay
Bina perkhay kiya tum nay
Kaha titli k rang jaisabohat kacha anokha sa` jab hi us ko bhula aye
Kahowo naam kaisa tha?
Jaisay sehraoon aur 'chunchul’
Hawaoon per likha tum nay
Kahabas mausamo jaisa ` na janay kis terha kis pal kisi roo may mitta aye.....!!!!**
*mere jism-e-jaaN k har ik raabte se moatabir
mere hum-safaR
tujhe yaad haii, tujhe yaad haii
wo jo QurbatoN k saroor mien
terii aarzo` k hisaar mien
merii khwahishoN k wafoor mein
kaii zaiQay thay ghullay hoay
dar-e-gulistaN se bahaar tuk
wo jo raaste thay khillay hoay
sar-e-loh-e-jaaN
kissi ajnabii sii zubaaN mien
wo jo khushnuma se haroof thay
wo jo sar kashii ka ghubaar tha char-su
jahan ik dojey k ru-baru
kissi naghmagii ki khabR milii
kissi roshnii ki nazaR milii
hamien roshnii kii nazaR milii
tu jo raiza raiza se aks thay
wo baham hoay
wo baham hoay tu pata chala
k jo aag sii hai sharar-fishaaN merii khaak mien
issi aag ka koii an-bhuja sa nishaaN haii terii khaak mien
issi khaak-daan mien wo khwaab haii jisse shakal dene k waaste
ye jo shash johaat ka khail haii ye rawaaN howa
issi roshnii se makaN bana, issi roshnii se zamaN howa
ye jo har gumaN ka yaQeen haii
wo jo har yaQeen ka gumaan tha
issi dastaN ka biyaaN tha
mere hum-safar
kissi dhiyaan ki kissi taaQ per
haii dhara howa
wo jo ik rishta-e-durd tha
mere naam ka tere naam se
terii subh ka merii shaam se
sar-e-rah-guzaR hai para howa wohii khwaab-e-jaaN
jisse apnii ankhoN se dekh lene k waaste
kaii lakh taroN ki seeriyoN se uter k aatii thii kehkashaN
sar-e-aasmaN
kissi abar paray ki oout se
usse chaand takta tha raat bhar
mere hum-safaR
ussi rakht-e-ghum ko samait-te
ussi khwaab-e-jaaN ko sambhaalte
mere raaste kaii rastoN mein ulajh gaye
wo chiraagh jo mere saath saath thay bhujh gaye
wo jo manzilien
kissi aur manzil-e-bey-nishaaN k ghubaar mien kho gayeeN
kaii waswasoN k fishaar mien shab-e-intezaar sii ho gayeeN
wo tanaab-e-dil jo ukher gayii
wo khiyaam-e-jaan jo ujer gayii
wo safeer thay ussi dastan-e-hiyaat k
jo warQ warQ thii bharii hoii
mere shouQ se tere roop se
kaheen chahoN se, kaheen dhoop se
mere hum-safar tujhe kia khabR
ye jo waQt haii kissi dhoop chahoN k khail sa
usse dekhte, usse jhailte
merii ankh gurd se att gayii
mere khwaab rait mien kho gaye
mere haath barf se ho gaye
mere hum-safaR
mere bey-khabR tere naam per
wo jo phool khilte thay hont per
wo jo deep jalte thay baam per
wo nahii rahay
wo nahii rahay k jo ik rabt tha darmiyaN
wo bikher gaya
kissi shaam aisii hawa chalii
k jo barg thay sar-e-shaakh-e-jaaN
wo gir gaye
wo jo harf darj thay rait per
wo urr gaye
wo jo rastoN k yaQeen thay
wo jo manziloN k ameen thay
wo nishaan-e-pa bhii mit gaye
mere hum-safaR
haii wohii safaR
mgr ik mour k farQ se
tere haath se mere haath tuk
wo jo haath bhar ka tha faasla
kaii mosumoN mien badal gaya
usse naapte, usse kaat-te
mera sara waQt nikal gaya
tu mere safaR ka shareek haii
mere tere safaR ka shareek hoon
per jo darmiyaaN se nikal gaya
ussi faasle k shumaar mien
ussi bey-yaQeen k ghubaar mien
ussi rah-guzaR k hisaar mien
tera raasta koii aur haii
mera raasta koii aur haii*
*Jab dard puranay ho baithay..
Jab yaad ka jugnuraakh hua
Jab aankh main aaansoo barf huay
Jab zakhm se dil manoos hua
Jab tees ko chubhna bhool gia
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharhakna yaad aya!!!
Jab karb ki lambi rahon main
Ahsas k baal safaid huay
Ya soch ki sarma dhoopon main
Alaam ka mevah khushk hua
Jab aankhain 'be sailaab'huin
Jab neendain Aandhi ho baithin
Jab khawabain b 'be khawab' huin
Jab chaand charha be dardi ka
jab tanhaii ka seena b
Ser rakhnay ki aagosh laga
Jab rait peh likhi yaadon ko
Be mehr hawa ne cheen lia
Jab hosh ki kachi dewarain
Tasweeron se azad huin
Jab 'yaad ruttain' be dad huin
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharakna yaad aya!!!
Tab aankhain kuch abaad huin
Jab mujh peh khula main zinda huun...
Ahsas ka bachpan jaag para
Phir jazbay be taqweem huay!!
Phir waqt ne kuch angrhaii li..
Phir soch ki qabar se dhool urhi
Phir piyas ka barzakh bhool gya!
Ik hijr se kia azad huay?
So hijr naye ejaad huay!!
Phir ik nazar siyyad bani
Ik nazar ka taair said hua
Phir ashk main darya qaid hua!!
Phir dharkan main bhonchal paray
Phir ishq ka jogi gallion main...
Taqdeer kay saamp utha laya!!
Phir hosh ka jungle sabz hua
Phir shoq_e_darinda jag utha..
Phir zulf ka tewar shaam banay
Us shaam main phir mehtaab charha
Phir hont ki larzish, geet bani..
Phir sans ka naam saba thehra!!
Phir sher,shaur ka wird hua..
Phir zanjeerain,zawer thehrin..
Phir taqreerain inaam huin
Phir khoon se likhay jazbon ki
Kuch tehreerain neelam huin!!
Phir dard "Zulaikhaan"ban baitha..
Phir qurb ka karb jawan hua
Phir mujh pe khula main zinda huun!!!!
Kuch wasl shabain shab khaizhuin
Kuch hijr ki nabzain tez huin
Jab qaid ko taza umr mili..
Us qaidi umr k bakhton ne..
Ik shaam_e-sahuur se pooch lia
Mehjuur hi rehna tha...to hamain
wo pichla hijr hi kafi tha!!
Gar qaid hi ja` apnani thi..
Kiun pichlay jaal ko chora tha??
Kis ahed peh pinjra tora tha??
Jab jaal teri qamzori thay...
Siyyad ko kiun badnaam kia??
Ik soch raha huun muddat se ...
Kiun mujh pe khula main zinda huun ???
KIun dil ko dharakna yaad aya ???
*
Suna Hoga Bahot Tumne
Kahin Aankhon Ki Rimjhim ka
Kahin Palkon Ki Shabnam ka
Parha Hoga Bahot Tumne
Kahin Lehje Ki Baarish ka
Kahin Sagar Ke Aansoo ka
Magar Tumne Kabhi Humdum
Kahin Dekhe Kahin Parkhe
Kisi Tehreer Ke Aansoo
Mujhe Teri Judai Ne
Yahi Miraj Bakshi Hai
Ke Main Jo Lafz Likhti Huun
Woh Saare Lafz Rotey Hain
Mai Jo Hurf Bunti Huun
Woh Saare Bain Karte Hain
Mere Sang Iss Judai Mein
Mere Alfaz martey Hain
Sabhe Tarif Karte Hain
Meri Tehreer Ki Lekin
Kabhi Koi Nahi Sunta
Mere Alfaz Ki Siski
Falak Bhi Jo Hila Daale
Mere Lafzon Mein Hai Shamil
Ussi Taseer Ke aansoo
Kabhi Dekho Mere Humdum
Meri Tehreer ke aansoo