Children molested by family members

That is why quran says "aik mard aur aurat kay darmiaan teesra shaitan hota hai"

Quran didn't say kay aurat aur na mahram kay saath teesra shaitaan hota hai.

So itna clear to quran nain kah dia.

Aik bhi rishtay ka zikr nahen kia kay us kay ilawa. Is say ziada aur kia taleem chahyay maaoon ko especially aur baapon ko specially.

Sub kioon bhool gaay hain kay Hazrat Yousuf aur Zulaikha ka bhi to maamla manzar pay laya gia tha.

Quran main yay bhi hai kay zulm ko pehlay zuban say phir haat say roko agar naheen roak saktay to dil main bura jaano jo imaan ka sub say akhri hissa hai.

Ba mutabiq quran as a parent aap zuban aur haath say roak saktay hain so qadam uthain Allah ka naam lay kar aur kisi baat say na darain.

Allah huq ka saath deta hai. Naam aur badnami denay wala bhi Allah hai.

AGar aaj aap nain apni buchchi kay liaay qadam uthaya to aap ko jo daard milay hai apni maan kay qadam na uthanay ka to wo dard ko bh dawa milaay ga.