Chicago Mosque Not allowing in Women?

**sahiha fermiya tillo sahab waisey mujhy America a ker hi pata chala tha ke khwateen bhi masjid ja sakti hai:D
Kion:aq: Because when I was a child muhaley ke bachon ke sath main Masjid main chali gai aur zuhar ka time tha molvi sahab jamat kerwa ke ja chuky they so main ny wuzo ker ke namaz perhni shuru ker di tu shor macha diya sathion ne ke hey larkian ghar main namaz perhti hain masjid main nahi. Main ny bhi zid main puri namaz perhi ghul ghaparey ke bawjud magar jab ghar main dakhil hoi tu socha hu sakta ha nama na h ho ho:hmmm: tu jaye namaz bicha ker phipho ke samny namaz shuru ker do( I was afraid ke bachey ghar batain gey u shamat a jaey gi) so main namaz perh ker andar kamrey man gai ke baher sehan se MUFTI_E_AZAM “papu uncle” ki awaz ai phopo ko bataty hoey " aj GIDDI ne masjid main namaz perhi os ki nama nahi hoi" Phphi ne kaha ja bkwas na ker woh tu abhi abhi namaz perh rahi thi hu hi nahi sakta woh aisa kery" aur ham muskura diey sab shaikyata party ko zuban chiraty hoey. Os ke bad college main masjid dekhi tu yehi socha ke aurton ki alag merdon ki alag masjid hoti hu gi **