Chaloo ab faisla karlo.....

K jo apni mohabat thi
Nasha tha woh jawani ka
Khumar utra to yeh jana
Mohabat yon nahe hoti
Jo mai nai khuwab dekhay thay
Ab in ki kirchiyan hi hain
Or zakhmi paon hain meray
Tumhara hum qadam rehna
Mujhy mumkin nahe lagta
Tumharay or meray darmiyan
Koi dewar hai shayd
YEH hargiz gir nahe sakti
Tumhain woh log pyary hain
Jo mujh ko zahar latgy hain
Mujhy tum ab bhi pyaray ho
Mager ab moor aisa hai
Jahan itnay mukhalif hain
Tumhain yeh to pata ho ga
Mukhaluf simt chlnay say
Kabhi manzil nahe milti
To phir kiyon waqt khootay ho
Chaloo ab faisla karlo…

Re: Chaloo ab faisla karlo.....

Very Nice.. :)

Re: Chaloo ab faisla karlo.....

Thanks Ahmar :)

Re: Chaloo ab faisla karlo…

beautiful! good post :k:

Re: Chaloo ab faisla karlo.....

hmm.......
achee hai............nazam:)

Re: Chaloo ab faisla karlo…

jo bhe fesslah ho jae me ko bata deina unclle :cb:

Re: Chaloo ab faisla karlo…

tum kya karo ge???:faizy:

Re: Chaloo ab faisla karlo…

lafafe meyn lepeit ke rekh loon geee:cb:

Re: Chaloo ab faisla karlo…

kisay???
Faisla karnay walay ko:faizy:

Re: Chaloo ab faisla karlo…

very nice nazam :k:

Re: Chaloo ab faisla karlo.....

** :) DEEP OCEAN..........AGAIN BEST**

Re: Chaloo ab faisla karlo.....

always a pleasure to read ur threads deep_ocean

Re: Chaloo ab faisla karlo…

nehe :wink:

Re: Chaloo ab faisla karlo.....

I am Honoured :)

Re: Chaloo ab faisla karlo.....

nice sharing

Re: Chaloo ab faisla karlo.....

You know on the index page the title appears like:

"Chalo ab faisla..."

I thought you wanted to say, "Chalo ab faisalabad chalo"

;)