peace!
Amina,
some words from you that we all need to understand:
''' I just hope we all can learn from each other and not come to a point where we use religion as a an avenue to make one feel superior over another. '''
its a good feeling to know there are still some people like you among us, and i do think we certainly need more posts from you around here. God bless you!
Niaz bhai,
maulvi sahab, aap ka sab say bara problem pata hai kyaa hai? aap baat kernay say pehlay sochtay bilkul nahee! yeh problem to kher saare maulvis kay saath hee hota hai!
hmmm... well lets get straight to the point:
maulvi sahab farmatay hain..
'''Someone else, shayad duniya ka ilm tumharay paas hoga, lakin jahan tak deen ka ilm hay, tum jahil ho, pakkay JAHIL. And that is one of the reason of u'r being Qadiyaani. '''
haan to maulvi sahab, yahaa Qadiyaniyat kahaan say aa gayee?? us post main aap kee haalat kafee kharaab hai, wahaan par sub dekh rahe hain kay aap kaisay mere buhut strong points lagataar ignore ker detay hain! wahaan to aap ko jawaab nahee aatay, yahaan kyoon itnee Ahmadiyyat yaad aa rahee hai aap ko? us post main dekhain ja kay, aap kay naye message main jo aap nay mere points ignore kiya hain, woh bhee saaf nazar aate hain! aap aik discussion ko doosri say naa millaain logic say baat kerain, logic say!
Maulvi sahab, aik baat zara ghaur say sunain...main nay kabhee aap ko kafir nahee kaha, aur na hee mera deen mujhay is baat kee ijazat detaa hai, aap apnee hee baaton say khood ko kaafir kernay pay tulay huwe hain, to mera ya kisi aur ka kyaa kasur hai?
haan, aagay farmatay hain janaab, kay:
'''Farid bhai, u know who is a muslim and who is not, ok well we can't say that as we are not God and we cannot see wat is in the heart of ppls, as the faith is from the heart. So we see the faith and the believe a sect has"'
haan yeh jo aap nay baat byaan farmai hai, is baat kay baaray main bhee main aap say pooch guch keroon ga, kay yeh aap nay kon see hadith main say nikaali hai! zara thehr jaain maulvi sahab, saaray points pay baat ho gee.. main aap ke tarah nahee kay jis baat pay laajawaab huwe us ko siray say ignore hee ker diya!
pehlay zaraa ''assalaamoalaikum ya ehl-ilkaboor'' pay baat ho jaye...
dekho maulvi sahab, aap ka yeh point hai, kay jis nay murray huwe kay liye YA kahaa woh mushrik!
phir kehtay ho, is duwa main hum kabristaan main mojood hotay hain... yaar aap khuchain kyoon maartay ho?
aap kabristaan to kyaa, kabar khod ker us kay under ghuss jao, aur phir bhee YA kahoo, to KOI MURDAA AAP KO NAHEE SUNAY GA!!!!!!!!!!! agar aap kehtay ho kay sunay ga, to phir aap nay bola, ''MARAA HUWAA AADMI BAAT SUNAY GA! ''' phir aap kyaa huwe??????????? MUSHRIK!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! aur aap APNAY HEE FORMULA SAY MUSHRIK KARAAR PAI!!!!
aap farmatay hain,
''''kiyon key hamara yeh aqeeda hay key humain sirf Allah SWT sun sakta hay, aur agar aap yeh samghain key humain Muhammed (PBUH) ya Ali (R.A.A) ya koi baba, ya murshid ya pir faqeer bhi sun sakta hay to yeh 100% SHIRK hay. '''
to jab aap ka aqeeda kehtaa hai kay KOI wafaat shuda aadmi hamaree baat nahee sun saktaa.. to phir aap kabristaan bhee chalay jaain, wahaan bhee to wafaat shudaa aadmi hain.. woh kaisay aap kee baat sun rahe hai? yaar allah say dero.. yeh ajeebo ghareeb logic na pesh kero, jis ka na sur hai na per!!
abhee aap pehlay yeh irshaad mulahza farmain,
'''Now coming to your own statement, that in a hadith it is stated that on the day of resurrection only one out of 73 sects will go in jannah, Now, just tell me All of them will be kalima sayer, then why will they go in hell. HAAAN, ANSWER ME, JAHIL INSAN. Now tell me if the 72 sect are kalima sayers WHY WILL THEY GO IN HELL. OR will u say this hadith is also zaeef which u only stated. '''
wah jee wah, yeh pehlaa aadmi dekhaa hai jo saath to jahil kehtaa hai, aur saath hee sawaal ka jawaab bhee mujh hee say mangta hai... to jawaab haazir hai... yeh jawaab purh kay yeh baat sab ko maloom ho jaye gee, kay kon jahil hai, aur kis pay allah ka fazal hai!
to janaab-e-aali, arz hai, kay is forum main yeh riwaaj hai, kay jab koi kisi ko quote keray, to us kay EXACT words copy keray, jaisay kay main nay kiye hain!! phir aap nay yeh apnay hee alfaaz main meri baat kyoon kahee?? taake jhoot shaamil ker sakain??
yeh meraa challenge hai, kay agar jo alfaaz aap nay quote kiye hain, woh meree kisi post main dhoond kay dikhaa dain, agar na dikhaa sakay to aap jhootay saabit ho jaain gay! aur jhootay per allah ka azaab hota hai.
yeh baat to hadeeth main dekhee hai, kay 73 sects hoon gay, jin main say 1 sacha ho ga, aur baaki jhootay, ... yeh baat to hadith main nazar aayee thee, magar JANAT & DOZAKH ka is hadith main main nay KOI zikar NAHEE dekhaa, aur naa hee main nay aisee koi baat is forum main kihee, kay kon jannat main jaye aur kon dozakh main! meraa deen mujhay yeh sikhaata hai, kay is baat ka faisla siraf Allah karay ga, kay kon jannat main jaye, aur kon dozakh main.. lihaza main saaree zindagi yeh jurrat nahee ker sakta, kay main kisi ko yeh boloon, kay falaan shaks ya firka jannati hai aur falaan dozakhi!
abhee to aap nay mujhay JAHIL bola hai, aur aik jaahil ko bhee pata hai, kay jannat aur dozakh ka ta'aluq insaan kay ZAATI amaal say hota hai... kayamat kay din allah firkon kay hisaab say nahee khara karayga, aur na hee firkay as a whole jannat ya dozakh main daalay jaain gay! hur shaks, chahay woh kisi bhee firkay ka ho, us say us kay ZAATI amaal kay sawaal poochay jaain gay! jab yeh baat aik JAHIL ko pata hai, to aap alim-e-deen ho kay is baat ko kyoon nahee samajhtay??????
na hee us hadeeth main jannat aur dozakh ka zikar aaya tha, aur na hee main nay jannat aur dozakh ka ziker kiyaa
HAQEEQAT YEH HAI, KAY JANNAT AUR DOZAKH KEE BAAT AAP NAY APNEE TARAF SAY SHAAMIL KEE HAI.. AB JAB KAY AAP KAY PAAS AUR KOI RAASTA NA RAHA, TO JHOOT KA SAHARA LIYAA! JAB AAP ITNAY SAAF AUR WAZAAY JHOOT BOLAIN GAY, TO LOG AAP KO JAHIL KAHAIN GAY, MUJHAY NAHEE! JHOOT AAP NAY BOLA HAI, NA KISI AHMADI NAI, NA KISI SHIYAA NAY! AGAR AAP KEE BAAT MAIN KOI LOGIC THAA TO JHOOT KYOON BOLA? AB JAB KAY AAP JHOOT BOLTAY HUWAY PAAYE GAYE HAIN, TO AAP KEE KISI BAAT PAY KOI KAISAY AITBAAR KARAY? JO SHAKS AIK POST MAIN JHOOT BOL SAKTA HAI, DOSREE POST MAIN US PAY KON BHAROSA KARAY? AGAR KHUDAA KA ZARA SA BHEE KHAUF AAP KAY DIL MAIN HOTA, TO AAP JHOOT NA BOLTAY!!! AGAR AAP SACHAY HAIN TO JHOOT KA SAHARA KYOON LIYAA?? YEH TO SUNAA HAI KAY AIK JHOOT KAY PEECHAY SO JHOOT BOLNAY PARTAY HAIN, MAGAR KABHEE YEH NAHEE SUNA, KAY SUCH KO SAABIT KERNAY KAY LIYE KOI JHOOT BOLAY! ISI BAAT SAY HUR KOI ANDAZA LAGA SAKTA HAI, KAY AAP KEE BAAT SUCH HAI YA JHOOT! ALLAH SAY DERO, JHOOTON PAR ALLAH KA AZAAB HAI, ALLAH KEE LAANAT HAI, JO JHOOT BOLAY GA, US PAY ALLAH KEE LAANAT HO GEE, WOH DUNYAA MAIN BHEE ZALEEL HO GA, AUR APNI AAKHRAT BHEE KHARAAB KARAY GA!
wah maulvi sahab waah! yeh kon sa such aap bol rahe hain, jisay saabit kernay kay liye jhoot ka sahara lena parta hai???
fiker na karain, abhee aur bhee kuch baatain hain jo aap say kerni hain.. aik aik ker kay... tamaam baatain hon gee..
ab molaana sahab, aap apna yeh farmaan sunain:
''''Ab tum ney jo hadith bataee thee, kalima sayer wali, to allah key banday, us main jo likha hay "kalima kehnay wala" us say murad sirf yeh nahin key La ilaha illallah Mohammed(PBUH) urrasoolullah keh dia aur bas.
Kalima to aap ka Amitab bachan bhi film main keh daita hay, kia aap us ko bhi musalman manaaingaay. Aur agar kalima kehnay say murad sirf kalima kehna he hota to Abu jahal bhi kalima keh daita.
''''
yaar yeh hadith main aap ko buhut dino say dikhaa raha tha, magar kyaa wajaa hai kay itnay dino baad hee aap ko is ka yeh jawaab soojha????
haaan, to janaab, yeh baat to aap nay hadith kay khilaaf bol dee!
aap ko kitnee dafa bola hai, kay baat kernay say pehlay soch liyaa kero, kay is ka kyaa nateeja niklay ga!
to janaab, main nay aik hadeeth pehlay bhee bayaan kee thee, aur ab dobara aap kee khidmat main pesh ker rahaa hoon.. agar aap kee ijazat ho to:
aik sahabi aik kafir ko aik ghazwa main katal kernay lagay.. mot ko samnay dekh ker us nay dur kay kalma parh liyaa, magar sahabi nay us ko katal ker diyaa.. Jab hazrat muhammad ko is baat kee khabar punchi, to aap buhut ziada naraaz huwe aur farmaya kay tum nay kyoon aik musalman ko katal kiya? sahabi na arz ki, ya rasoolallah, woh musamlman nahee tha, us nay kalma siraf mot kay dur say parha, rasoolullah nay farmaya, tujhay kaisay pata hai? kyaa too nay us ka dil phaar kay under say dekhaa tha??
muhammad is wakia say buhut pareshaan huwe, aap buhut baychain nazar aate thay, aur allah say un kee maghfirat kee duwaa kertay thay!
to janaab! ab zara aap dekhain, kai us shaks nay jis tarah kalma parha tha, woh moon say hee parhaa thaa! Amitabh bachchan nay film main ''acting'' kee thee, usee tarah, sahabi samjhay kay woh murnay waala shaks bhee ''acting'' ker raha hai! aur yehi un kee ghaltee thee!!
maulvi sahab, FITWAA ZUBAAN KEE BAAT PAY LAGTAA HAI, DIL KAY KHAYALAAT PAY NAHEE! ZUBAAN KEE BAAT KA TO INSAAN KO ILM HAI, MAGAR DIL KAY KHAYALAAT KA ILM SIRAF ALLAH KO HAI!
kalma parhnaa say muraad kalmaa ''kehnaa'' hee hai! kyoonke is baat ka faisla siraf allah hee ker sakta hai kay kis kay dil main kyaa hai!! kalma perhna say muraad kalma kehnaa hee hai, kyoonke ooper kee hadith main jo shaks katal huwaa, us nay siraf kalma ''kahaa'' tha! aur muhammad rasoolullah nay us ko ''musalmaan'' kahaa!! phir tum kon hotay ho muhammad kee shaan main gustaakhi kernay waalay??
jahaan tak aap kee yeh baat:
''''agar kalima kehnay say murad sirf kalima kehna he hota to Abu jahal bhi kalima keh daita.'''
agar abu jehel bhee kalmaa keh detaa to aanhazoor us ko kaafir na kehtay, aur us kee nimaz-e-janaaza na roktay.
memory main baat nahee, magar aij shaks tha, jis ka naam kuch yaad nahee aata, magar kuch yoon yaad hai kay usay munafikon ka sardaar kehtay thay! munafikon kay baaray main koran main likha hai, kay yeh moon say to kalma boltay hain, magar dil say nahee! usee munafikon kay sardaar kee nimaz-e-janaaza muhammad parhanay lagay, to omer aagay aaye aur bolay, keh ya rasoolullah, yeh shaks na siraf munafik tha, balkay aap kay baaray main ghalat baatain bhee kertaa tha.. muhammad muskaratay rahe... phir omer nay koran kee aayat dikhaee, kay yeh munafik moon say kalma boltay ain , dil say nahee, aur koran main kahaa gaya tha, kay ai nabi, too sattar dafa bhee mujh say in kee mughfarat maangay to main maaf na karoon ga.. muhammad nay farmaya, main ikattar dafa maghfirat maang loon ga! yeh keh ker us munafikon kay sardaar kee namaaz-e-janaza parhai!!!!
woh shaks bhee to siraf moon say kalma bolta tha, phir muhammad nay usay kaafir na bola... to tum kon ho??? tumhain yeh muhammad rasoolullah kee shaan main gustaakhi kernay kee jurrat kaisay huwee, kay jo baat aao nay jis tarah farmai, tum us kee jagah apnee ghalat baatain daal rahe ho??
us aadmi ko, jis nay dur kay kalima parha, usay musalmaan bola!! or tum ho kay jo kalmaa parhnay walon ko kaafir kaafir kehtay ho???
yeh baat ooper kee do waakiaat say saabit hai, kay kalma kehnay ka mutlub kalma kehnaa hee hai!
ab aap kee dee gayee aayat kee asal jaga aati hai:
Surah Nisa - Ayat 65
Fala wa rabbika …. yusallaymu tasleema.
Ay paighambar (sallalahu alaihay wassallam) teray parwardigar ki kasam (Allah SWT khud apni kasam khata hay) woh momen na hongay jab tak apnay jhagroon ka faisla tujh say na karaeen. Phir teray faislay say un key diloon main kuch udasi na ho aur khusi khushi man ker manzoor na kerlain.
to janaab woh momin na hon gay, jo muhammad ka faisla khooshi khooshi kabool na karain.. theek hai...
jhagra hai kai shia kaafir hain ya nahee...
muhammad is maslay ko hul farmatay hain:
'''kalma-go ko kaafir kehnay waala khood kaafir hai!'''
is kay baad agar koi phir rasoolullah kay faislay kay aagay bolnay kee jurat karay, to us kay baaray main koran nay farmaya hai, kay ,,,,,woh momin nahee ho ga..... samajh aayee??
to ab janaab niaz sahab, rasoolullah kay faislay kay aagay khooshi khooshi sur jhukaa dain!!!!!! ab aur bolnay ko kuch nahee raha, aap jhootay to pehlay hee saabit ho chukay hain.. ab rasoolullah kay faislay main dakhal andaazi ker kay gustaakh-e-rasool bhee na bun jaana!!
lincolns inn main jahaan dunyaa kay baray baray munsifeen kay naam likhay hain, un main sub say pehla naam muhammad hai! muhammad jo tamam insano say aur tamam anbiyaa say afzal hain, unhon nay saaf aur insaaf oay mubnee faislaa ker diyaa hai!!
hum subko chahiye kay is faislay kay aagay sur jhukaatay huway is topic ko yaheen khatam ker dain... kyoonke woh momen na hongay jab tak apnay jhagroon ka faisla tujh say na karaeen. Phir teray faislay say un key diloon main kuch udasi na ho aur khusi khushi man ker manzoor na kerlain. !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!