Brijinder"Sagar"ka kalaam

Aik Paaghal Nazm Paaghal SmaajoN Ke Naam

Raakh barseygi aasmaanoN se
Fiza meiN bhar jaigi qabaroN ki haddiaN
Apna hi lahu bahyga dariya dariya
NiklyaNgay naNgay-jism murdoN ke juloos

Kuttay roiNgay muNh aflaaq pe dhar kar
Aur raqs karaNygee siyaaroN ki hookeiN
AaNkh barsa karEygi naalioN ke keeRay
Shab peetee phiraygi sooraj ki kai


Aflaaq- skies, Kai- Vomit