AhsaasoN ki ghurbat ka muqaam hai
Ishq jab benoor perstish ka sabub ban jayay
Hawas ki hud say aagay jiska koi da_ava nahiN
Us ahsaas ka shumaar zikr-e-muhabbat maiN kyuN aayay
Ishq nighaahaiN milnaiN say hi nahiN pa laita apna wajood
Bahut mushkil hotay haiN in raahoN kay usool
Koi jab ban pehchaan apnay khyaaloN ki milay
Jab lehraayay kisi chehray maiN apnay ahsaaoN ki pehnaai
Maaini ishq kay tab jalwagar ho kay miltay haiN
JismoN ki dosti phir bus hawas ki bunyaad nahiN
Muhabbat ka kudrati sabub ho kay milti hai
Woh jo kehtay haiN ki jazbaat kisi usool ka haamil nahiN
Khumaar-e-dast-junooN tak say bus wabasta haiN
Un past roohoN say jo na hui tai ishq ki bulaNdiaN
Hawas-o-benoor parstish ko ishq ka paikar diya
Aur sadioN say yahi unka beemaar paimaanaa
Ishq bun kay reh gaya bus ik harf-e-mujrmanaa
Utho tehzeeb-e-nau kay humraaho
Ishq ko phir say khoya maayni lauta do
Aur duniya ko yeh samjha do
Ki-
Jazbaat ka hospur tarjuma hai Ishq
Isliyay hai banaa khuda hai ishq
Meray kaandhay pay apna sar rakhay
Band aankhoN maiN kai khwaab liayay
Larazaty huyay lub aaNchal maiN chupayay
Aur jazboN kay sad-sailaab liayay
Meri kameez kay buttonoN say khailti ungliaN teri
Chayar rahi ho jaisay kisi raag ki dhun
Teray aarizoN pay har dum badlatay taassur
Rahi ho kudrat jaisay koi jaadu sa bun
Khaloos itna ki paimaana-e-shakhsiyat jayay chalak
Saadhgi aisi ki milay usmaiN Mariam ki jhalak
Lutaanay lago jab tum apni adaaiN nasheeli
Utar aayay Menaka jaisay chor kar apna falak
Khusboo teray badan ki lagay sharaab mujhay
TujhmaiN mil jayay har swaal ka jwaab mujhay
Aur jab pyaar say bulao tum mujhko "Sonu"
koi Mil jayay jaisay azeem khitaab mujhay
Meanings:Menka-Mythological charactor known for her seductive powers
Woh kahkahoN ki Masti
KahaN gayee who hasti?
Woh khwaaboN pay jaadu karna
Aur yaqeeN main badalanaa
SabaaN say sur milanaa
Tau kabhi taaroN say gungunanaa
Jab hosh nay aaNk kholi
Afqaar say ki macholi
Ab tu bhi udaas kyuoN hai
Tanhai ka paas kyuoN hai
Maanaa shub nay ziNdgi pay teri
Lagaai lambi pheri
Magar raushni kay who daany
Jiskay tujh main haiN khzaanay
Bo day is kaali raat kay seenay par
Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi
Khud hi jawaab aur swaalaat hai zindagi
Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat
Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat
Kuch jaani anjaani raahon pay
UmroN kay qaafilay
Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN
Kabhi manzil ka pa laina
Phir us say ukta jaanaa
Yeh shauq-e-manzil nahi
Shayud jeenay ka bus bahaanaa
Jab bar gayi bahut tanhai
Banaya phulsupha-e-khudai
But banayay banai azaanaiN
Phir sajaai rishton ki dukaanaiN
Jab jab bhi khud say uktaiya insaaN
Daur-e-wehshat main laut aayaa insaaN
Is hajoom-e-zindagi main tanha hai har koi
Bus girafat-e-khwaab-e-bahaanaa hai har koi
Ik bhatkan umr kay jaNgloN main
Liyay bekasi-e-namaloom diloN main
Har koi jiyay jaataa hai
Dard-o-masarrat kay ajab saNgam ko
Unwaan-e-zindgai diyay jaataa hai
Meanings: mauj-e-samanadar-e-kaynaat-wave in the sea of universe,ghardish-e-dauraN-revolution(movement of zamana,Pinha-chupa hua,Ghirfat-e-khwaab-e-bahaanaa–caught in the web of deception
Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi
Khud hi jawaab aur swaalaat hai zindagi
Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat
Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat
Kuch jaani anjaani raahon pay
UmroN kay qaafilay
Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN
Kabhi manzil ka pa laina
Phir us say ukta jaanaa
Yeh shauq-e-manzil nahi
Shayud jeenay ka bus bahaanaa
Jab bar gayi bahut tanhai
Banaya phulsupha-e-khudai
But banayay banai azaanaiN
Phir sajaai rishton ki dukaanaiN
Jab jab bhi khud say uktaiya insaaN
Daur-e-wehshat main laut aayaa insaaN
Is hajoom-e-zindagi main tanha hai har koi
Bus girafat-e-khwaab-e-bahaanaa hai har koi
Ik bhatkan umr kay jaNgloN main
Liyay bekasi-e-namaloom diloN main
Har koi jiyay jaataa hai
Dard-o-masarrat kay ajab saNgam ko
Unwaan-e-zindgai diyay jaataa hai
Meanings: mauj-e-samanadar-e-kaynaat-wave in the sea of universe,ghardish-e-dauraN-revolution(movement of zamana,Pinha-chupa hua,Ghirfat-e-khwaab-e-bahaanaa--caught in the web of deception
Kuch jaani anjaani raahon pay
UmroN kay qaafilay
Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN
Kabhi manzil ka pa laina
Phir us say ukta jaanaa
Yeh shauq-e-manzil nahi
Shayud jeenay ka bus bahaanaa
Jis tamnna ko jiya tha tanhaioN main kai baar
Us ahsaas ki tabeer mili aaj mujhay gha_ir ban kar
Woh dulhan to bani baithee thi sakhioN main
Woh baraat magar ghar say meray na aayee thi
Udhar who ho rahi thi kisi ki umr bhar kay liyay
YahaaN yakhbasta waqt tha aur meri tanhaai thi
Dost na ajnabi bus ab khalaa main latka sa ik rishta hai
Pehchaan kar bhi na pehchaanti hui aankhaiN mera muqaddar hai
Jin khwaaboN pay pali hai meray takhyyul ki umr
Nazar karta hoon who sub meri dost tujhay
Banaa kay mahbbat ki main aakhri saughat
Door ufq detaa hai aawaazaiN meray soyay huay jazbaat ko
Is ufaan maiN machlataiN haiN kitnay naghmain nikal aanay ko
Diwaanaa kiyay daitee hai hai mujhko soz-e-tanhai
Aur
KhyaaloN ka bojh zehan pay barta jaataa hai
Yeh maqaam kaisa
Ki khyaal lafaz bantay bhi nahiN aur martay bhi nahiN
Bus waqat-e-tanhai aur bojhil hua jaataa hai
Door door tak hai sannaataa dil-o-dimaagh pay chaayaa huaa
Bus aatee hai ufq say wahi dard bhari aawaaz
HaaN ! shayud yeh aawaaz mujhay hosh main laa day
JazboN ko jagaa day lafzoN ko banaa day
Aur shayud phir say tanhaai
Bojh na reh kar pursakoon saath ho jaayay
Ki jiska muNtzir rehay mera wajood
Meray khyaal aur maiN
Meanings-
Yakhbastaa waqt- Freezed time,Soz-e-tanhaai- pain of lonliness,
Ufq-horizon, Pursakoon-peaceful,tranquil,MuNtzir-waiting
Zaahir na ho jayay meri udaasi meri tanhai
Meray dil ki kasak aur badan ki angrai
Ubhar na aayay chayhray par
meri betaabioN kay naqoosh
Suna na day kuch meri usko
Pyaar say nihaarti aankhaiN
Kadam aadtan na chal paraiN uski jaanib
Aur ban jayay uski pashymaani ka sabab
Zabt ki kasam di hai usnay
Fazaon ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki
Afsurda badalon mein se chand phir muskuraya hai
Takhleeq meri mein phir aaney lagey hain shokhion ke dum
Labon pe phir koyee mast nagma ubhar aayaa hai
Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera
Phir se chayee hai takkh_ ul pe aarzuon ke ghata
Jhumti bal khaati hai barq umeedon ki
Phir se wafa ki zard aarizoN mein noor bhaa
Meri tanhaee bhi soyee hai aaj umroN ke baad
Main bhi khud se mila huin baad muddat ke
Dard ki aankhon mein bhi hein aaj massrrat ke aansoo
Tamanna ko milay phir se pairhan haqeeqat ke
Besood nahin mahabbat ki wus_ ataiN
Dil phir yeh mananay ko karta hai
Khird phir bebus si khari hai
phir jaagney ko karta hai
Aaj tu aayee hai to pathra gayee hai shikvon ki zubaaN
Kho gyay hain gilon ke bol kahin khalaaon mein
Meetha taanaa sa detaa hai beetee udaasee ka chehra
"Bhool gayaa hai "Sagar" usey vasl ki shuaon mein"
Abhi kuch pal mein toot jayega waqt-e-vasl ka dum
Phir se laut jayengey hum liye majboorion ke daaman
Tu meri ho ke bhi meri na hogi kabhi
Teri majboorian hain yeh duniya ke bemaar aqayud
Main bhi majboor huun in haalaat ke haathon humnufs meri
Aatee rhaa karo milnay jab talak mumkin hai
Kyuon na tab talaq ishq ko apnay
vajah miltee rahey jeeney ki
Afsurda-Udaas, Takhleeq-Rachna,
saaz-e-zeest : instrument of life
takkh_ ul -Kalpana, barq- Lightening
aarizoN- Cheeks, pairhan- libaas
Besood-useless, wus_ ataiN-Vishaalta
Khird-Intellect, Junoon-passion,diwaangi
shuaon-rays, waqt-e-vas- Milan ka waqt
aqayud- usool aur riwaaz
humnufs- meri jaan(beloved),
YaqeeN khud pay to mujhay hi nahiN
TumhaiN kyuN mujh say aqeedat ho
Fiqr meri maiN shaamil haiN
Hadd-e-junooN say paray tak kay bhi khyaal
MaiN khwaaboN ko rang-e-bu say Taraashnay ki jurrat rakhta hooN
MaiNay daikhay haiN hawas maiN pakeeza jalway
Aur taqaddus maiN fahaashi kay imqaaN
MaiN taraadeed ki hooN saraapaa tasveer
Diwana hooNsaudai hooN aur na jaanay kya kya
MaiN ajeeb shakhs hooN meray dost
Soch kay baraanaa mujh tak dosti ka haath.
Rang-e-bu-- Colour of the smell.This metaphor is to convey my sense of experimentation,my quest to explore the unconventional
Maddah-admirer, Aqeedat--devotion,Taqaddus-pious,fahaashi--vulgarity, Taraadeed-contradiction,Saraapaa--from head to toe
Shikwa na shikayat
Na jazboN ki inayat
Khilkhilahat na chulbulahat
Kulbulahat na kasmsahat
Na jismoN ki garmiaN
Na baatoN ki narmiaN
Na aakhoN ki woh baataiN
Na khwaaboN maiN doobi raataiN
Na teray husn ka barsay mujh pay jaadoo
Na meray she'r karaiN jazbay teray bekaboo
Jab besaakhta shokhiaN barsaiN
Ab to un paloN ko hum tarsaiN
Jab tu meri aagosh maiN hoti hai
Teri admundhi aankhain
Teray laraztay huay hoNt
Daitay hain bahut si ankahi baatoN ka pataa
Teray jism ki haraarat
UnglioN ki shraarat
NihaaN jaanay kitnay maikhaanoN ka nashaa
Jhatak kar khol daiti ho
Jab tum ghanay syaah gaisu
Aur bar jataa hai un paloN ka khumaar
Phir shiddat say woh jazba
Hai rooh tak mehsoos hotaa
Kartay hain jism jab us pyaar ka izhaar
Purmaaeni ho jaati hai meri hayaat
Hoti hai beshak mukhtsar si hamari mulakaat
Jab tu meri aagosh maiN hoti hai!Sach!
Meri zad maiN hoti hai jaisay saari qaaynaat