Mai ka jadu bhara mast payaala hai
Ya ki tanhai kay seenay maiN laga khaNjar
Mehboob kay hoNtoN ki sheerni hai
Ya ki zar-o-zameeN kay khawaaboN ka naam
Har nafs maiN zinda hairat ki taazgi hai
Ya ki sub ka sham say ik thaka sa rishta?
Zindagi kisko kehtay haiN, dost??
Sard hai raat bahut
Chand say pighal-pighal rahi hai barf chandni
Aur utar rahi hai meray takhhyul ki vaadioN main
Meray khwaaboN kay jharnoN maiN
Meray armaanoN kay goshoN maiN
Kohra ban kay ghayray hai mujhay abr-e-tanhai
Aur yakhbasta sa ho gaya jaisay mera tamaam vajood
Lagta hai is baar
Ki garmi-e-jazbaat bhi bacha na payaygi ziNdagi meri
Is baar jo aya hai yeh sard-bedard mausam
Is baar yeh khatm nahi hoga kabhi.....
Na raatoN ko hui naseeb apnay khwaaboN ki tabeer
Na din meray nay payaa apnay ujaalon ka humnashiN
Na mili sera-e-jahaaN main zeest ko thandi chaaNv
Na jazbaat meray nay paayaa aqs apna kahiN
Tu to tha mushtaaq haqeeqat ki gawaahi hai
Shiddat-e-khuloos magar bani teri tabaahi hai
Tunay gaRd main reh kar shaffafi kay geet gaayay
Ziqr gulshanoN kay teri barbat pay kiyuN ki aayay
Yeh jurm-e-intahha tamddun say hota nahi gawaraa
Tareekh kar rahi hai sadion say yeh ishaaraa
Aqeedat-o-takddus kay auhaam main thay jo mastoor
UriyaaN kar diayay tunay tehzeeb kay woh sub nasoor
Ab isliay ta-umr tanhaaion main teh
Tu mehfiloN say door parchaion main reh
Ja ab tera koi nahiN
Meanings:
Mushtaaq-one who wants to know
Shiddat-e-khuloos-intensity
Shaffafi-pure
Barbat-a musical instument
Jurm-e-intaha-extreme sin
Tanddun-civilsation
Aqeedat-o-takddus--faith n pious
Auhaam-- veham(illusions)
Mastoor--chupay huay
Na tujh pay jafa ka koi ilzaam
Ma maiN apni ulfat pay sharamsaar
Tagaful na peshaymaani na koi shiqayat
Bus zindagi ko dekha apnay apnay andaz say humnay
MaiN ishq ko samjhta hooN zindgi ka muqaddar
Tunay muqaddar ko bus zindagi samjha
MaiN jin zulmatoN pay uthata raha barbat-i-baghaawat
Tunay unhiN aqaayud ko raushani samjha
MaiN banaataa hi rahaa haseeN khwaaboN kay gronday
Mujhko na tha pata ki tera guzar inmaiN kahaaN
Tu to dhooNdti phirti thi ik qafas sandli
Meray tas_svur maiN tha teray liyay ik azaad jahaaN
Main to chaahaa tha ki tum humkadam ho kay chalo
Tumnay virsay maiN magar paya hai aqeedat ka bharam
Meri ulfat to thi baraabar ki dosti
Teri ulfat rahi meri mohtaaj-i-karam
Meri tamanna thi ki tu mujhay "tu" ho kar kay milay
Tunay khudi ko apni magar biknay kay liayay paalaa tha
Meri hasrat ki tu isay apnay ahsaas maiN rakh kar kay jiyay
Toonay parstish kay liyay jisay ab talak saMbhaalaa tha
Na tujh say thi mujhay parstish ki aarzoo
Na kud mujhay tha shauq-i-aqeedat
MaiN tujh maiN dhooNdta phirta tha ik khud_dar mehboob
Aur tumko piyaari thiN apnay purkhoN ki viraasat
Meanings: Taghaful- Disinterst(la-parwahi)
Zulmaton-AndairoN, Barbat-e-baghawat- begule of revolution, Aqayud- Vishwas,prinicples,
Qafus-cage, Mohtaaj-e-karam-at the mercy of my "Yes"
Shauq-e-aqeedat-tendency to rever(pooja)
<!-- / message --> <!-- controls -->
Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai
Yeh hawis bhi hai pakeezgi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq-
Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi-
Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai
Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq rif_at bhi aur wus_at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh masoomiyat bhi rikhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
ZamiN bhi hai aur aasmaN bhi hai
Magar ufaq ka ismay nishaN bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton sa-
To kabhi mandir ki moortoN sa
Kabhi uryaanioN ka shaida
To kabhi Meera-o-Mariam ki soortoN sa
Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai
Ishq parastish bhi magar da_awa bhi hai
RishtoN say sada juda hai ishq
Isliyay hi bana khuda hai ishq
Meaning:
Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh -ehsaas aur khyaaolon ki tarakki ki aatma
furqat-Judai.rif_at -uNchai, wus_at -vishaalta
rikhshandgi- masti,ufaq -Horizon,uryaanioN-nudity
Fazaon ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki
Afsurda badalon mein se chand phir muskuraya hai
Takhleeq meri mein phir aaney lagey hain shokhion ke dum
Labon pe phir koyee mast nagma ubhar aayaa hai
Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera
Phir se chayee hai takkh_ ul pe aarzuon ke ghata
Jhumti bal khaati hai barq umeedon ki
Phir se wafa ki zard aarizoN mein noor bhaa
Meri tanhaee bhi soyee hai aaj umroN ke baad
Main bhi khud se mila huin baad muddat ke
Dard ki aankhon mein bhi hein aaj massrrat ke aansoo
Tamanna ko milay phir se pairhan haqeeqat ke
Besood nahin mahabbat ki wus_ ataiN
Dil phir yeh mananay ko karta hai
Khird phir bebus si khari hai
phir jaagney ko karta hai
Aaj tu aayee hai to pathra gayee hai shikvon ki zubaaN
Kho gyay hain gilon ke bol kahin khalaaon mein
Meetha taanaa sa detaa hai beetee udaasee ka chehra
"Bhool gayaa hai "Sagar" usey vasl ki shuaon mein"
Abhi kuch pal mein toot jayega waqt-e-vasl ka dum
Phir se laut jayengey hum liye majboorion ke daaman
Tu meri ho ke bhi meri na hogi kabhi
Teri majboorian hain yeh duniya ke bemaar aqayud
Main bhi majboor huun in haalaat ke haathon humnufs meri
Aatee rhaa karo milnay jab talak mumkin hai
Kyuon na tab talaq ishq ko apnay
vajah miltee rahey jeeney ki
Afsurda-Udaas, Takhleeq-Rachna,
saaz-e-zeest : instrument of life
takkh_ ul -Kalpana, barq- Lightening
aarizoN- Cheeks, pairhan- libaas
Besood-useless, wus_ ataiN-Vishaalta
Khird-Intellect, Junoon-passion,diwaangi
shuaon-rays, waqt-e-vas- Milan ka waqt
aqayud- usool aur riwaaz
humnufs- meri jaan(beloved),
Fazaon ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki
Afsurda badalon mein se chand phir muskuraya hai
Takhleeq meri mein phir aaney lagey hain shokhion ke dum
Labon pe phir koyee mast nagma ubhar aayaa hai
Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera
Phir se chayee hai takkh_ ul pe aarzuon ke ghata
Jhumti bal khaati hai barq umeedon ki
Phir se wafa ki zard aarizoN mein noor bhaa
Meri tanhaee bhi soyee hai aaj umroN ke baad
Main bhi khud se mila huin baad muddat ke
Dard ki aankhon mein bhi hein aaj massrrat ke aansoo
Tamanna ko milay phir se pairhan haqeeqat ke
Besood nahin mahabbat ki wus_ ataiN
Dil phir yeh mananay ko karta hai
Khird phir bebus si khari hai
phir jaagney ko karta hai
Aaj tu aayee hai to pathra gayee hai shikvon ki zubaaN
Kho gyay hain gilon ke bol kahin khalaaon mein
Meetha taanaa sa detaa hai beetee udaasee ka chehra
"Bhool gayaa hai "Sagar" usey vasl ki shuaon mein"
Abhi kuch pal mein toot jayega waqt-e-vasl ka dum
Phir se laut jayengey hum liye majboorion ke daaman
Tu meri ho ke bhi meri na hogi kabhi
Teri majboorian hain yeh duniya ke bemaar aqayud
Main bhi majboor huun in haalaat ke haathon humnufs meri
Aatee rhaa karo milnay jab talak mumkin hai
Kyuon na tab talaq ishq ko apnay
vajah miltee rahey jeeney ki
Afsurda-Udaas, Takhleeq-Rachna,
saaz-e-zeest : instrument of life
takkh_ ul -Kalpana, barq- Lightening
aarizoN- Cheeks, pairhan- libaas
Besood-useless, wus_ ataiN-Vishaalta
Khird-Intellect, Junoon-passion,diwaangi
shuaon-rays, waqt-e-vas- Milan ka waqt
aqayud- usool aur riwaaz
humnufs- meri jaan(beloved),
Tu mujh pe karay sang ki baarish
MaiN zubaN bhi hilauN to gunahgaar banuN
MaiNney banaaya aazaadi ko ahud apna
Teri tamn_na ki maiN tera ahalkaar banuN
Meri takhleeq meiN nahiN jo shokhioN ke dum
To teri nazar meiN koi sukhnwar hi nahiN
MaiN afkaar ki hudd se guzar jaaney ka huiN Qayal
Aur terey jahan-e-adab meiN maiN koi shaayar hi nahiN
Meri zidd ki maiN isay rif_atauN pe bithauN
Teri shart ki maiN isay kuch neechay utaar lauoN
Shaayri mehaz byaan-o ishq-o-raqeeb-o saaqi-o-jaam nahiN
Yeh rah-e-irtaqa-e-insaani hai bus fasun-e-alfaaz ka naam nahiN
Daad apnay asha_ar ki isliyey shayud kabhi sun na pauNga
KaliyaN nishat-e-tasleem-e-fun ki shayud kabhi chun na pauNga
Apni apni jagah "Sagar"
hum tum dono hi majboor haiN
Main apnay ahud ka hamil
Aur teray myaar khud meiN magroor haiN
--------------- +Meanings:
Ahalkaar-subordinate,Afkaar-vichaar(thoughts),Rifat-uNchaai,Raah-e-irtiqa-e-insaani-path of human progress,Fasson-magic,Tasleem-recognition,ahad-promise
Tujhay aayaa na jo falak choonay ka andaaz
Gunaah bana di gayiN parvaazaiN meri
Ab mera qasoor hai kya teray ahsaas ki ghurbat
Jo dabaatay ho balaNd aawaazaiN meri?
Jab tu mehfiloN maiN ho mast firta tha
Karti thi meri umr tanhaaioN maiN riyaaz
Jab tu laga raha tha beparvaah qehqehay
Samajh raha tha tab maiN khyaaloN kay andaaz
Mainay ik ahud pay jiayaa hai zeest ka lamha lamha
Tunay tab jisay janooN ka naam diyaa
ZameeN jisko samajh na paayi
AasmaaN nay uska ahatraam kiyaa
Teray rutboN ki nahin ab koi kashish baqi
Samjhay to yeh bhi hai ik kamaal-e-phun mera
Jo bus riwaayutoN maiN dhal kar kay banay
NahiN ab woh mozu-e-sukhan mera
MaiN to khwaaboN kay geet banaauNga
Aur wusat-e-afqaar say sajaauNga
Tujh maiN himmat hai to aa jaanaa
Warna akaylay hi gungunauNga
Meanings: Falak-sky, ParvaazaiN--flights, Riyaaz-excercise,abhyaas, Zeest-life,Ahatraam- respect, Mozu-e-sukhan-subject of poetry, Wusat-e-ahsaa--bigness of thoughts
Meray wajood pay phailee haiN taqdeer ki nadeedaa lakeeraiN
Nijaat jin say shayud main na pa sakuNga kabhi
Muqaddar bun kay milay hain gumnaamioN kay aNdhairay mujhay
Tasleem-e-fun ki apnay shayud un maiN lau na jalaa sakuNga kabi
Lahu-lahu jiya hai maiNnay har takhleek ko apni
Likha hai inhaiN shub ki taarikiaN laykar
Aur alfaaz kay paikar main utaaraa hai inhaiN
TanhaaioN main afkaar ki baarikaiN laykar
Umr bhar ka dard jinkay liayay paalaa
Aur duniya bhar kay rutbay choray
Akaylaa hi takraataa raha waqt ki aaNdhi say
Aur kitnay shokh paighaam moray
Magar aayaa na koi deedaawar apnaa
Aur tasvvur mera khlaaon main bhatkataa hai ab talak
Nadeeda-blind, Tasleem-e-fun- recognition of art, takhleeq-rachna( creation)taarikiaN-blackness,afkaar-thoughts